Sunday, August 25, 2013

story fleshing out

2 line kaa idea dena.. aur wo idea acha lage ye to maine thoda achieve kiya... kyunki maine kai jagah se dekha aur usame jo mujhe acha lag raha tha wo maine daal diya.

ab story fleshing out... jo idea maine sell kiya hai.. wo idea unako acha laga... to usame kuch points aur kahani hai jo unakaa attention catch kar rahi hai... ab mujhe un points ko lekar kahani banani hai... aur jo maine promise kiyaa tha un 2 lines se.. just like teaser wo fit baithana chahiye...
waise to uskaa jo tareeka maine istamaal kiya tha... ki kuch twist dete raho... par wo sahi se clear nahi ho paya hai.

abhi bhi kahani fleshout karte samay gadbada jata hai... balki abhi to ho hi nahi raha hai.

ki bhai story kyaa hai... chalo wo story padhi jaaye... yaa phir bahut saari stories padhi jaaye... naa ki sirf kaam aur pay cheque ki tarah dekha jaaye. ye ek maoine seekha tha ki rumaal fenk do ki kamase kam kuch der ussi par baat chalti rahegi...

yahaan rumaal can be different things also... emotions... aur some message... some information... an action which changes attention.

elongates drama... thoda study kartaa hun... finished product se samaj haayega... doosara ki jo serial aa raha hai... usake aage ki kahani main soch sakta hun... lekin mujhe ye nahi pata hai ki kal kyaa aane wala hai... to main aaj ke aadhar par kal kaa episode likhunga... aur kal ke hisaab se parso... chalo esako karke dekhtaa hun.

serial kaunsa uthana hoga... jo mujhe likhane kaa man kartaa hai... yaa phir jo abhi naya start huaa ho..jisake bare me kuch bhi nahi pata hai... waise to maine kabhi Pavitra Rista aur Baalika Vadhu kabhi nahi dekha... to kyun naa uspar hi start kiyaa jaaye.

usakaa initial teaser to pata hai... wah pitch huaa maan lo... usake according pilot banega.

usake baad... aglaa episode... 10 - 20 episode likh kar dekhtaa hun.

saayad kuch chamke.

yaar agar unake yahan nahi lagega to kuch karoge hi nahi.. ye to gadbad hai.

maine job me kaaphi jerk wala behavior kiyaa hai... christy kaa last ke time par baat nahi karna.

yahaan se kaam mil raha hai... to ye kahnaa ki ho nahi raha hai

aise kaise kaam chalega... wo episode dekh kar unhone aage screenplay likhane ko diya tha... mujhe sahi se likhnaa chahiye tha... lekin main kaaam aate hi sar pakad kar baitha jaa raha hun

usako karna start karo... pahale dimaag ko ek jagah fix karo ki yahi karnaa hai.... naa novel aur naa hi kuch aur... sab startup ho jaayega... haan job dhundhate raho... wo to ek kaam hi hai.. par jo mile usako sahi se karo bhai.

mujhe lagtaa hai ki samay beet jaayega aur mani esame fans jaaunga... lekin aisa kuch nahi hoga... baith kar saare raaste likh lo... pata chal jaayega ki kyaa karna hai. aur main kyaa kar raha hun..

ek to apnaa look sahi karo... kamase kam wo sahi dikhe... self image must be strong the way I want to see it.

Gautam hamesha se clear hai... bahut hi saaph.

puts things very calmly and precisely on point.

ab kahani me continuous interest banaye rakho ki wo bik jaaye... wo samjhnaa bahut jaroori hai..

kabse soch raha tha ki ek bike ho to har jagah chakkar maarte raho... bike to hui nahi... aur maine gaadi khareed li... lekin usako naa to chalaya aur naahi istamaal kiya..

ab phir tempo yaa bus se jana hoga.. lekin kitne jagah aadmi aise hi ghumate rahega aur kitne din... mere khayaal se kuch din chakkar maro aur kaam nikaalo... pata nahi yaar kitne paise chahiye aur kitnaa kaam karna hoga... aur wo main kar paaunga yaa nahi.

jo kahin par kiyaa huaa hai wo behtar hai... tum bhi karo... usame kuch remix...

career aur job me thoda farak hai.. usako samajhnaa bahut jaroori ho gaya... aaj... waise anjaane career ki taraf hi badh raha hun... career goal.

waise main kabhi kabhi career me bhi confuse ho jata hun.

aaj Gunjan se kiyaa hua baat saayad personal me hi karnaa chahiye tha... mujhe aisa lagta hai ki usake side waale bhi to hajaar baatein jaante honge. ye confusion bahut samay se hai... ki main apane ghar waalo ke saath baat karun to gadbad hai... lekin wo discuss kare to sahi hai... actually me dono ke liye hi galat nahi hai kyunki ek pareshan aadmi kissi se to share karega... aur un parivaar waalo se share nahi karega.. to kyaa baahar waalo se... dosto se... yaa phir Gunjan ke parivaar walo se... par jeevan me tarah tarah ke problem & issues aate hai... wo sab ek hi aadmi yaa relation solve nahi kar sakata hai.

usake liye tarah tarah ke ristey chahiye hote hai... aur un sabkaa samman karte hue jeevan me chalate raho.. saale yahaan baith kar likhnaa aasan hai lekin aisa hoga ye bahut muskil hai... even asambhav... bhai writer to kahaniyaa likhega hi.. ab wo sab jeeyega tabhi likhega to kaise chalega... aur usaki target audience ko usaki kahaniyaa padhane me maja bhi aana chahiye... tabhi to mera gujara chalega.

ye ab sirf writing wale kaam se paise kamaa pana muskil lagtaa hai... jab mujhe yaad aata hai ki mujhe serials me kyaa chal raha hai wo bhi nahi pata hai... main sirf apni achi kahaniyo ke dam par bechana chahtaa hun... baat karni hi naa pade.. yaar ye too much hai.

jab baahar kaa najaara dekho to darr lagane lagtaa hai.. ghar me baith kar sapne dekhnaa asaan hai... wo jo story mili thi usakaa screenplay main kaise karunga ye to mujhe hi sochna hoga... lekin bina kuch discuss kiye hue.... lineup and all main usako kaise kar saktaa tha...
phir wahi 4 saal purana dar ki main daily soap me nahi chalunga...

jis level kaa soch rahe ho us level kaa to nahi chalega... haan thoda chota aur usase phir bada aisa ho saktaa hai.

career aur job me phir se ek ghaplaa dikhaai dene laga... sala main darr raha hun ki mujhase nahi hoga... yaa phir main kyaa special kar paaunga yaa kar saktaa hun. jabaki darr bhi lagtaa hai ki kuch nahi kar paaunga... ab to lag raha hai ki hath se Adaalat bhi chala gaya hai.

ye to abhi bhi likh hi rahe hai... to ye kaam to mil hi saktaa hai.... bas ye jo test unhone liya tha us test me mani fail ho gaya... to ab samajh nahi aa raha hai. 

main baar baar ruk raha hun

mere rukane se... jaldbaaji naa dikhane se kya hoga.

Business plan ban jaayega.

nahi frustration badh bhi saktaa hai

apnaa kaam karte raho

job ki talaash

baithne aur es tarah likh kar writing sahi ho sakti hai... lekin paise nahi aayenge.

so paise kamaane ke liye live project dhundhana aur unako complete karnaa start karo.

chalo abhi ek story padhtaa hun aur dekhataa hun ki writer ne kitnaa kamaal kiyaa hai.

waise baat wahi aa jaati hai ki kaise sunaaye ki unako acha lage.

warna wo kahenge ki maja nahi aaya... aur esame ye nahi hai wo nahi hai

waise aap kahani me aisa kuch to eye catching likho ki wo nikalti rahe

thode bahut correction ho to wo aap fatafat kar dijiye

lekin wo karne me bhi abhi tak to time jata tha... upar se main ussi waqt phir se kahani sochne lagtaa tha

ek baar agar kahani likhi gayi hai... to wo kahani hai

usako script me change kiya gaya behtar narrative karne ke liye

aur phir dialogue --- par yahaan par kyaa behtar ho raha hai

mere case me to ye tha -- ki pahale kuch sell kiya.. us waqt uake baare me jjyada idea nahi tha

wo sell ho gaya .. to phir usake aage thoda aur likha

screenplay aur dialogue hone tak wo change hote rahate the - aur mujhe wo sahi bhi lagtaa tha --- even abhi bhi lagtaa hai ki usake bina maine kaise likh paaunga

yahi nahi pata hai ki kahani ko fleshout karnaa kyaa hota hai

aur usame interesting kyaa dalaa jaaye aur kaise dala jaaye

lekin main khud bhi to bahut saari cheejein dekh kar entertain hota hun

to phir wo entertainment hi to likhnaa hai... ki kyaa entertain kartaa hai

jo entertain kartaa hai wo likho --- haan he was asking ki tum badhiyaa kyaa likh lete ho

ye bhi abhi tak pata nahi hai ki main kyaa behtar likh paata hun

abhi to idhar udhar hi tahal raha hun

pata hi nahi hai ki kaunsaa raste jana hai

abhi to itna soch kar lag raha hai ki sahi hun.

distribution aur production ki taraf bhi dekh liya.... aur thoda technology ke liye bhi

es tarah se exposure thoda aur badh gaya --- diversification

haan lekin ye diversification thoda slow karna chahiye tha ---- waise saayad slow me main bahut sara data kabhi jama nahi kar pata

aur ho saktaa hai ki main esako kabhi pursue bhi nahi kar pata.

itna maraane ke baad to kuch huaa hai.. thoda bahut samajh aa raha hai

even kissi cheej ko nahi karnaa hai... that is also a big decision

main hamesha Rana se kahtaa hun ki 6 ghante roj kaam karne ko mile... aur wo 6 ghante bhi sirf 5 din ke liye... aur esake liye mujhe 80k mil jaaye to mast hai... main bahut kuch kar saktaa hun.

lekin ye kaam to abhi bhi ho saktaa hai.. writing ke saath.

jeebhar kar dekho... daba kar writing karo... roj 6 ghante... haan lekin usame kuch productive nahi kar paa raha hun.

to ab yahaan par ek cheej ho sakti hai... ki main kahaniyaa pooori hi nahi kar paa raha hun... kamsekam 40k wala jo hai... usase to kaam ban sakataa hai..

usako serious karke 1 aur kuch kaam dhundh lun... 1 kahani bhi mil gayi yaa phir Jinni aur Juju jaisa show bhi kuch din likhane ko milega... to chalega.... esame se koi chootega to koi to kaam banega... aao jara story dekha jaaye.... yaar ek kaam kar naa serial dekho... kamasekam 2 serial pakado... aur unaki kahani likhnaa start karo.

even FIR kaa bhi pakad sakte ho... usake producer ko kahani likhani hai ye kahkar bhejo.

daily soap bhi ek pakad lo... Savdhan ko bas samajhne ke liye har hafte dekho... kya acha tha kahani me... kyaa bura tha analyze karo.... aur ek kaam dhundhane ke firaak me hamesha lage raho... pahale to en sab office ke chakkar maar lo... taaki unake yahaan se kaam nikalta rahe.

even Adalat ki kahani bhi khud se likh kar daaloge to 30 - 40 ke aaspaas banega... aur fear files me bhi kuch raasta ban saktaa hai... kaam to karke dena hi hoga... warna phir kaam kaise chalega.

ab ye koi kaise sikha saktaa hai ki kyaa likh kar de ki paas ho.

wo to khud hi samajhnaa padega ki kyaa likh kar dun....

100 days rule

for a client always over deliver for next 100 days

and that client will be for you always

haan kuch mishap hote rahate hai

aur wo maaph bhi ho jate hai agar thoda jor lagaya jaaye

lekin khud bhi main sochata hun ki aakhir ek hi jagah baar baar kya gir kar jana

aur bhi jagah to try maarna chahiye

wo ho jaayega to try maarunga

lekin har baar wahi waali baat hai

yahan par ye to fix nahi hai ki kitna likhnaa hai

ek aadmi to limited hi likh sakta hai

aur apne ghar launde baitha kar serial writing kaa kar pana.

ye bahut kam log hi saayad kar paate hai

par usame acha paisa hai

ye sab lekin references liye hue hai

tumhara apna bhi to koi sapnaa hoga

par ye sab startup kholane waali baat hai

kyunki wo log business kar rahe hai

to ek startup kholnaa is always different thing

aur usame paise banaana --- these things are really crucifying

ek to wo kaam mujhe khud hi lagta hai ki nahi aata hai

ab usake dam par main kaam lekar aa jaaun lekin wo kaam complete bhi to karne honge

kyunki 100 days waali bat to poori karni padegi

main khud se novel chaap lun... yaa koi script likh liya

aur wo ek din bik jaye --- to kabhi ka likha huaa kaam kissi aur din kaam aa gaya

jaise maine abhi tak kuch films aur serial ke concept soche hai -- unako jot down karane me kuch din jaayenege

atleast wo jitnaa hai --- usase aage unako badhaya jaaye

abhi ek serial writing me haath jama liya hai --- aur kuch client bhi --- to thoda bahut kaam mil raha hai aur ghumunga to kuch jaan pahchaan ke log bhi mil jaayenge

uname se koi kuch karne kaa sochega... yaa unake saath kuch plan kiyaa jayega... all that will be again startup

even writing a novel is startup

btu startup kaa matlab hi hota hai.. ki start -- up... eskaa kyaa matlab ho saktaa hai??

ek company jo abhi start hui hai... ek company jo start hone ko hai... kitne din hue hai start hue, kyaa usase startup define hoga?? lekin wo abhi struggling phase me hai ye baat jo jaroor hogi.. warna wo established company ho jaayegi.

ab jaise chintu wo electric man waali kahani nahi likh paa raha hai... to eskaa matlab ye nahi hai ki main bhi nahi likh paaunga.... ek baat dekha hai ki main jab calm and controlled hota hun then I see options... even put my brain in work.

lekin most of time main bina kiye hi haar jata hun... tat's a bad thing.

I must start doing... find problem... look for solutions... work around it... move ahead and finally complete the task.

that can be one way.
socha nahi tha ki kabhi IIT me jaane ke baad mujhe paise ki dikkat hogi... aur personality aur acceptance waali problem hogi

wo main sochata hun ki mere andar problem hai... waise aaj ke baad naukari aur business...
waise kissi naa kissi tarah ke samaaj se judnaa bahut jaroori hai... jaise abhi ke liye writer samaaj se... kamase kam problems pata chali rahe aur usako solve karne me kyaa yogdaan diya jaa saktaa hai.

thodi bahut marketing bhi ho jaayegi.

itne paise hi kabhi nahi mile... ek baar milane start hue to usake pahale itne din se deen daridra ki tarah pada hua tha ki ghabraa gaya.... aur ussi ghabraahat me ye bhi chintaa sataane lagi ki mere jeevan me kya ho raha hai

wahaan main bewakoopho ki tarah baitha rahtaa hun.. chidiyaa ghar me band jaanwar ki tarah.. aur unake isharo par naachtaa hun aur dar abhi bhi jindaa hai... ab nikal aaya hun aur pareshan hun.

Dar lag raha hai ki jaise pahale itna kam paisa kamata tha waise hi kam paise es baar bhi milenge.... par es baar thode jyada kamaane ke chances to dikhate hai... par man laalchi ho gaya hai ki esase bhi jyada kamana hai.

abhi present skill me to resume bhi banana nahi aata hai... aisa lag raha hai.

I think mujhe apne baat karne kaa tareeka badalnaa chahiye... tat would really bring some change.

   

   

Saturday, August 24, 2013

choose your battle wisely

ye baat bhi sunane me sahi lag rahi hai

not every battle is worth fighting

yahan par vision hona aur usako carry karate hue -- ek din usako paa lena

that is called leader

chota aur bada leader hona -- tarah tarah ke leader hai... leader ka definition samajhnaa jaroori hai

I can be leader for myself.

ye concept nahi samajh aata hai ki sab kaise mujhase ache hai... aur main sabase bura..

kahin naa kaheen to kuch badbad hai  

phir se darr lagane laga hai

wahi darr ki writing aur tv -- ye main kaise kar paaunga??

agale 2 saal yaa 3 saal ke frame me chuki wo door hai -- to dikhtaa hai

par saayad wo bhi nahi

maine jeevan me paise ko hi sab kuch maan liya hai

yaar bahut takleef ho rahi hai -- tarah tarah ke option sochane lagata hun

kyaa din raat writing karunga to interesting kahaniyaa likh lunga

waise writing ke sath mani direction bhi karna chahtaa hun

par ab wo koi seekhane to dega nahi..

wahaan bhi main aisa kya karunga jo baaki log nahi kar rahe honge... I mean how can I change thing

why would project giver choose me over someone.

yuo can finish job... dedicated work... some loopholes but always ready to work on it.

now I am a media professional... in media.. came to make film.

so it can be producer or director

for being a producer... I should understand basic of business... about movie business... tat also can put me in financial risk.

there has been guys completely ruined in this business.

so now again business and startup kaa cheatcode badhiya lag raha tha.

it was talking about security and business.   

why should we hide

when I was a kid... I always thought ki mujhe..

wo scene sahi laga tha ki ek alunda thoda akad kar aur style me chal raha hai.. aur Akshay kumar usako tapli maar kar nikal leta hai... aisa kuch fun.

Sala Akshay kumar bhi pahale model... paisa... usake baad acting.... wahan bhi paisa... lekin wo dono jagah to usane khud hi mehnat kiyaa na... maine to nahi kiya... yaa usake gharwaalo ne ... yaa usake dosto ne... wo to sirf usane hi kiyaa hoga.

to main jo karunga wo meri pehchaan hoga... usase baaki kiskaa kyaa hoga.. itna complex aur definitive kuch hota hai kya... ab jaise log mujhe kahte hai ki main IIT me gaya to mere andar ek baat hogi... wo kis ek baat ki baat karte hai,

kuch kahte hai ki IITian mehnat kar sakte hai. kuch kahte hai ki unake paas dimaag hota hai... aisi aisi bahut si baatein hai... mujhe legends lagti hai... lekin aapne usako legend maan liyaa hai... aur legend ke naam par usako real bhi nahi kahte hai... ye to khud ke liye ek doubt hi hai... either you accept it... lekin phir usako arrogance kahaa jaayega.

Arrogance, Confidence, aur bhi kuch word hote honge... ab en sabako to main pata nahi kitne din me seekh paaunga... ek to lagtaa hai ki jab jo doubt aaya usako ussi samay nipta do... doosara aata hai ki... dekho company nahi chala paaye wo meri kaaphi hadd tak jimmedari hai... even mujhe aisa lag bhi raha tha to main gaanja pee kar khush tha... abhi bhi wahi haal hai.

baal tootane se bhi kitna depression hota hai... aur ye hamesha se hota raha hai... jab chota tha tab se lekar aaj tak takle logo ko dekh kar jo dehsat hoti hai wah kissi aur cheej ko dekhkar nahi hoti hai.

Indian Fears prominent in society.. will also be a good idea for a web series... that would give a greater foothold... a new concept and executed in a minimal manner.. with quite low budget... shoe string.. then it would be great... waise life me peeche mudkar dekhane par unhi logo ke dots make sense karte honge... jis baat ko Steve job yaa phir saayad ameer... yaa phir jindagi ko alag tareeke se dekhane waale ya phir har koi.. lekin phir log suicide kyun karte hai... wo ussi waqt baaki saari philosophy bhool jaate hai..

par unako darr kis baat kaa hota hai... ghar se nikaal diye jaane ki... duniya ke saamane majaak ud jaane ki... kabhi naa uth paane ki.... I think last wala option kaam kar raha hai.

meri kabhi aisi haalat hogi... pata nahi yaar... kyunki jindagi me maine ek baat to dekh hai.. ki samay ke saath main apna daayara chota karta gaya... wo chota hota bhi gaya aur main usako hone diya... kyunki main ek basic baat es samaaj ki karnaa chah raha tha bachpan se hi... lekin wo hone naa diya.. khair aaj tak kiyaa hai to aage bhi kar lunga... lekin ab thoda samajh kar khelana padega... koi bada risk nahi lene kaa.. .ye 6 months wala paath sahi hai... hataao jaane do warna thoda aur soch raha hun to conspiracy theory lag rahi hai.

har ek baat conspiracy thoery hai.. india me bol rahe the ki superstition hataao... lekin wo superstition unhone apne upar se hataa kar samaaj par daal diya... logo par daal diya... phir ek baat sunane ko mili ki system par bharosha karo... aakhir ye sab kaise ho raha hai.

saayad Ashutosh ne apna mobile fenk kar tod diyaa hai. aisa naa ho to acha hai lekin aisa huaa hai to phir bahut bura hai... mujhe bhi apne job ki chinta ho rahi hai... aur es company idea par aur work karne ki jaroorat hai... wo bol raha tha ki idea ko karne wala hi visionary hota hai.

ye visionary word bahut suna maine... log kahte hai ki videshi bahut jyada kaam kaaji aadmi nahi hote hai... lekin unaki baatein to authority type lagati hai... jaise wo har baat perfect kah rahe hai.

wahi par aise langooro ke video bhi hai jinako dekh kar bata pana muskil hai ki enake paas dimaag bhi hoga... hamlogo ne pichale 1 saal se jyada me jo kiyaa hai... tat was pretty bad.

abhi main itni sari baatein kah raha tha lekin tab sahi lag raha tha... wahi ye nasha hi mujhe pareshan kar raha hai... par main kyaa writing karta rahunga to kuch likhane lagunga... jo aajtak show banaane ke tareeke dekhe hai usase kuch naa kkuch to ban jaayega... phir sabase number lo aur jaakar suna aao... ab ye kahnaa muskil hai ki aapkaa kaam kahaan banega... yaa phir daily ki likhaai kab milegi aur main likh paaunga.

ashutosh ke paas dekhane ko kahaa jaaye to koi kaam nahi hai.. usako kissi kaam kaa experience bhi nahi hai.. aur usake saath ke log kareeb 7 saal se paisa kamaa rahe hai.. kamase kam apne industry me ghoom rahe hai.

esako bahut der se ye baat pata nahi kaise chamak gayi ki hero banana hai... aur main sala esako sambhaalane ke chakkar me fans gaya... aaj ke baad bina maange kabhi salaah nahi dene kaa... sochane kaa bhi nahi.

es tarah ki soch mujhe aur pareshan karti hai... kyunki wahi meri samasya hai... aur jab mujhase behatr launde... jinako main behtar kahtaa hun... waise to main almost har us aadmi ko behtar kahtaa hun jisase bhi baat karne lagataa hun... ab main kahunga ki ye bhi galat hai.

bhai saahab main to ek gol chakkar ho chuka hun... jaldi se job lage bhai... kuch kaam start kiyaa jaaye... waise wahaan bhi pareshani hogi.

aisa lag raha hai ki kaam hi nahi ho paayega... lekin aur kyaa tareeka hai??    

           

why do I look small??

This attitude of looking small... negligent and being missed... completely ignored... down on earth or worst than that... down ko fallen bhi kah sakte hai.

to aisa kyun... duniya ke saare machatkaar aur hamara balaatkaar kisane kiya.... .waise to Mugal aur bahut se naam bhi dia jata hai... lekin wo unakaa haq tha kyunki wo waise hi the... sawabhav... deer kaa sabhav.. gaai kaa swaabhav... aur sher ka swaabhav.

to ye sab chal raha hai... ab maion jab bhi kuch idhar udhar karunga... yaa mujhe meri baatein duniya ke baaton se match karti hui nahi lagti hai.. to main thoda hideous ho jata tha.... ki enlogo ko naa pata chale tabhi acha hai... warna ye maarenge... sabake samane beijaat karenge... aaj bhi dukh hota hia ki main apne baap ke belt se maar khata tha... un 4 baahar baithe logo ke samne jo ghar aaye the.. saaayd uncle ke dost the aur chai pee rahe the... mere papa ke saayad koi dost nahi hai.

he is almost alone... cannt talk to anyone... very rigid... no coherence or just one coherence... world is unsafe... relatives are unsafe.... your own brother is unsafe.

so much insecurity... hatred for people... I found them good nature... lovely people.

but there are bad ones also... but they are few... yet its not an issue that things cannt be done.. you just have to keep calm... aaj aisa feel ho raha hai... ki padhai likhai karte samay kitne bandhe hue mahsoos karte the... kyunki ek jagah yaa ek thought par bahut der baithnaa hai... quick fix or enjoyment seeking people... .it might be with everyone or not.

to ab aisa lag raha hai ki yahaan to sala jyada padhai likhai hai... lekin chaaro taraf ghuma kar dekh raha hun to wahi haal har jagah hai.

writing as profession then you have to turn it in business.

kyunki agar ye business me turn nahi hoga... then you will be always doing part times... start doing it full time... with full attention.

Start trying out this career. By this year do all sort of things that a writer has to do.

don't be scared that you will be rejected.. yes i will... I m ready for that... difficult to find meeting... .maybe but I can so I will.

content nahi hai.. i will write that..

jama karunga ab...

aur ek kahani banaao aur usako bechane kaa soho... agale 4 maheene jeevan me phir se mastaane samay hone chahiye... usake baad bhi ye lessons mat bhoolana... these are very important... almost true to life.... keep dreaming every day... try doing those things... but don't leave job... except you can live for another six months on revenue.

revenue of company is very important... to ye defend to karna padega... ki company kaa revenue kahaan se aayega... bina kissi business ke company hi kyaa hai... aur agar usase enough paise nahi ban rahe hai to band karo... yaa tumane sahi se kiya hi nahi hai.

what can be said about this... ki mujhe lagtaa hai ki internet par films dikhaai jaaye.

upload kar do aur log dekhe... ye to tumhara maksad nahi ho saktaa hai.. kyunki mujhe ye kaise nahi pata hoga ki youtube hai... wahaan films dikhati hai.

par paisa kaise banega?? --- agar audience base ho... jo proven ho... to koi film wala hi paise de saktaa hai release karne ke liye... aur ham VOD kah kar hi pitch kar rahe hai... ek specific area se ham start karte hai.. agar Vasai ke aaspaas ke kuch logo ko ham es website aur es par dikhaayi jaane waali film ke baare me bataaye... aur ticket charge naa kare??

wo apne ghar ke baare me jhooth bol sakti hai... main yahaan har baat saaph rakhnaa chahtaa hun... seedha aadmi... gaai aadmi... abey yaar.... tumhaari siti bhi waisi hi baj rahi hai... aur bajti rahti hai... jitna pahale sochata hun utnaa kaam ke waqt sochna chahiye... abhi jana hai... aur soch rahe hai... kitna time main waste kartaa hun.

lag raha hai ki chalo agar writing me hi ghusna hai to kamse kam writing to kar raha hun.

es tarah se main aajkal 8 ghante writing to kar hi leta hun.

usame serial, film aur short film, business... sab likhata rahtaa hai... kuch product jaldi banane padenge.

phir unako lekar ghuma jaaye... abhi to ek kahani ke form me hi likh leta hun... aur usako jaa jaa kar sunaunga... mere andar heen bhaavna bahut hai.

jaise paas me har taraf makhiyaa bhinbhinaa rahi ho... lekin real life me aisa mere saath raha bhi hai... jab main gaamv me tha to wahaan makhiyaa bhinbhinaati thi... kaaphi saari ki main din me so nahi pata tha.... it as pattern in gaamv./.. or even in my side of villages... a person can sleep at any time.

that's natural for them... lekin ye sehar me itnaa normal nahi hai... yaa phir main gaamv me bhi apne bahut chote aur chuki nani ke yahaan rahtaa tha.... to wahaan aapko karne ke liye kkuch kaam koi dega nahi... haan aapka man lag raha hai to kariye aur nahi lagh raha hai to mat kariye.

lekin dadi ke yahaan aisa nahi hoga... log aapse salaah, sawaal aur saayad wo sab kare... jisako ragging kahte hai... ragged by strange people is always much harsh.... par pata nahi... kyunki ek side to maine dekha nahi... haan films me dikhaate hai... lekin real life me Pappu and Tinku singh... my cousins were having fun.

not that bad... my life story matches with stories of those 70's film... I think people were taught about that.... america ke ek college me ek chutiyaa launda college ke ladko ko goliyaa maar deta hai... aur usako ham yahaan national debate bana rahe hai... ye kaise ho saktaa hai??

ye kyun ho raha hai.... kal wo macbeth class 5 ke bacho ko padhaya jaa raha hai... waise to maine macbeth nahi padhi hai.. aur abhi man bhi nahi ho raha hai ki Sexpeare pata nahi kyun ab chidh ho rahi hai.

yahaan ke logo ki waat laga rakhi hai... maa baap ke khilaaph jhagade waali films... ab main ek baap hun aur mani apne baap ke baare me jaisa sochata tha waisa main nah chaahunga ki Unnat ke man me kabhi bhi aaye... that day it will break my heart.

My sweet kid... I always imagine of him... how smart he would be... someway a better me... usake aankho se ye duniyaa dekhane me acha lagega... lekin phir main uspar unhi museebaton kaa pahad daal raha hun... ye confused hai... khair wo samay ke saath aa jaayenge... waise maine kaaphi door tak planning karni hai... ek din baith kar kartaa hun... aur un sabako ab follow bhi karna hai... be sincere writer... take your responsibility to write. search for things that you need to write upon... it will be opinion or what... that I have to decide... there are many forms of writing... and I should start shining my basics... dekhate ho Chetan BHagat uncle kyaa mast life jee rahe hai... yahi to main plan nahi kar pata hun... par ye life hai... never compare yourself with anyone.... ab mera logic kah raha hai ki wo to behtar hai usase compare to ho saktaa hia... haan kissi aire gaire nathu khaire se compare mat kar dena bhai.

aaj najaro me gir jaane kaa bhi matlab samajh aaya... agar hamaare saath kaa hi aadmi.. in every sense, status and all... competition to jabardast hai.

yahi hai aankho me girnaa... apni najar me lekin nahi girnaa chahiye... kyunki main kuch kaam kar raha hun.... its my life & my story.... so I know how I am going... why should I tell someone... except when needed and that also few friends... not everyone

please pick your friends & a lifetime bond... dont fuck with people and friendship...    


mere filmo kaa safar -- part 3

shadi ke khabar ke aaspaas thoda aur tmie deta hun... un dinno jab mujhe shadi ke baare me pata chal gaya... to main ghabraa gaya kyunki abhi ham 2 bhai badi muskil se rahnaa start kiye the ki tabhi ek aur kharch badhane ki baari aa gayi thi.

Wahaan 10k ghar kaa kiraya tha... aur biwi ke aane ke baad amine aaj tak kissi ko dosto ke saath rahte hue nahi dekha tha... to us hisab se main apni biwi se ye expect nahi kar sakataa tha ki wo esake wiprit kuch kare.

to 10k kaa kharch to makaan kaa hi hoga.. upar se ham 2 bhai bahut kanjooshi me.. naukraani kaa paisa bhi baat kar... khaane ke paise me ghaplaa karke kissi tarah apna kharch chala raha tha... maheene ke 15 - 20 yahi kamaa paaya tha.... haan serial ke episode likhane waalo ke 80k aur 1lakh ke cheque ki baat sun chuka tha.

to man tha ki kaheen waisa bhi ho jaayega to badhiya ho jaayega... lekin mujhe kaam kaun dega aur ata bhi to nahi hai.,.. to darate darate baat karta lekin kahin koi kaam nahi.... serial aur film me ad banane ka to main sochataa hi nahi tha.... kyunki usame 7k se lekar 25k yahi salary sunane ko mili thi... haan kuch log corporate films aur chief assistant ban gaye the... lekin main jo ek set se nikala huaa tha usake to kaheen lagane ke chance bahut kam the.

shadi najdeek aati gayi aur mere gale ke pas fanda kastaa jaa raha tha... yahaan sab kuch haath pair maarane ke baad bhi paise itne banate hue nahi dikh rahe the jisase khushi se raha jaa sake.

Khushi ko bhi yahaan define kartaa hun... ab hotel me khana... aur ladkiyo ke mahnge kapde khareedana.,.. aur phir ghar me kuch furniture and electronic... ye sab to mujhe jaroor hona chahiye wali category me thi... lekin main dubbing ke kaam me waapas jaakar bhi utnaa paisa nahi kamaa saktaa tha... serial writing me kuch kaam nahi mil raha tha... novel likh kar dekh chukla tha ki usako main nahi padhunga to aur kaun padhega.

saare senior writers ko phone nahi lagayaa hounga... lekin kaaphi ko phone kar diya tha... magar baat hoti thi bas kaam nahi mil raha tha.

ladki se baat hoti... aur phone kaa billl badhtaa jaa raha tha... itnaa bill to saayad maine usake pahale apni poori jindagi me jitni baat ki hogi usame bhi nahi kharch kiye honge.

upar se jab Gunjan baat karte samay hamesha hi bata deti ki wo kaheen ghumane nikli hai... dosto ke saath hia... aur usake kyaa kyaa shauk hai... en sab shauk se ek baat samajh me aa rahi thi ki ename se kuch mere bhi shauk the jinako main poora nahi kar paa raha tha.

to main Gunjan kaa shauk kaise poora karunga?? --- essi udher bun me meri saari taakat lagi hui thi.. phir maine ek din Virendra Shahaney ke yahaan job chod diya... kyunki mujhase kuch ho nahi raha tha aur main es bharoshe baitha hua tha ki wo kuch kaam laayenge to main to unake saath likh hi lunga. main 1 maheena aur job karta to muskil se 10k aur banate... yaa 20k lekin usase kuch hota nahi..

mujhe lagane lagaa tha ki main kaheen fans to nahi jaaunga... yahaan career choice aur apne upar kaaphi doubts hone lage... ek aur taajub ki baat thi ki Gunjan ke ghar waalo ke baare me jitna sunataa utnaa hi wo ameer lagate..... aur upar se usake aur mere ghar me ho rahe jhagade... waise main apne shadi ki kahani bataane lagaa.... filmo kaa safar batata hun.

to maine sab kuch chod kar... ye bhool kar ki kyaa hoga... apne 20k rupaye ke kapade khareed kar shadi ke liye chal diya.... ek aur doubt jo sath hi chal raha tha ki main sahi ladki se shadi to kar raha hun... kyunki love marriage aur arranged marriage kaa fark tab samajh aane laga tha.

ek me main ladki ko nahi jaantaa tha... aur apni sthiti ko dekh kar apne fanshane kaa dikh raha tha... maine apni ek girlfriend jisane mere I love you kaa reply I love you me diya tha... and I can call her one love.. and there was one way... but that case is different.. & I just gave thoughts to that aur agar wo stable hoti to saayad main jumop kar jata.... but she has lots of problems of her own and not even ready to move along.

ye ham dono ke beech sirf ek thought par hi rah gaya tha.

to meri jo sabase young girlfriend thi jisake saath maine kaaphi saare wo kaam kiye to jo bahut saare romantic movie ko mila diyaa jaaye jisame first love and innocent love ko define yaa phir bechane ki koshish ki gayi hai. to wo sab hamane kiyaa tha.

wahaan mila aur apne kai dosto se mila... ye samajhne ke liye ki jeevan me paise kamaane kaa aur kaun raasta hai... lekin saayad kuch se hi mila aur saayad unase hi mila jinako main jaantaa tha ki wo mere jaise hai... yaa phir wo jahaan hai wahaan se main bhi start kar saktaa hun.

lekin jaankar pata chala ki mera sochana galat tha.... first ki main har kaam sirf future security ke liye dhundh raha tha.... main clear nahi tha ki mujhe kyaa karnaa hai aur usake baare me industry information lun.

anyways acha experience raha... aur samajh me aaya ki sab mujhase bahut achi life jee rahe hai.... shadi ke pahale nahi aate the koi baat nahi lekin agar shadi ke baad kabhi aa gaye to kyaa main aur meri biwi us jaise gharo me unakaa swaagat karenge.

saayad wo phir kabhi hamlogo ke ghar laut kar bhi nahi aate.... aur main unake chehre par wo feeling soch kar hi darr jata tha... lekin raasta ab bhi kuch nahi tha.

mumbai waapas aaya aur yahaan aane ke pahale sabako ye bol diyaa ki bhai itne kaa job dilaa do... waise wo itnaa maine kabhi define nahi kiyaa tha... maine 35k max kamaaye the.... aur doosaro ko 50k banaate hue saamne dekh chuka tha.

to ye tha ki bhaai aisa kuch ho jo us 50 tak jaata ho to kaam ban jaayega.... aur phir shadi karke Gunjan ko Mumbai laya.... aur yahaan par hamane shadi ke baad ke kuch din bataaye... Mantu ek baar Gunjan ko Marine lines kitna ameer hai aur wahaan kitne bade log rahte hai... bata raha tha.... wahaan kai logo ko maine kapade pahale aur gaadi se utarte dekha aur mere ankho ke saamne us din wo mussebat phir dikhane lagaa... ki main kabhi itna ameer nahi ban paaunga.

lekin ye baat sach hai... ki unaki umar me main waise nahi jee paaunga... .kyunki ek to meri wo umar gujar chuki thi... aur utnaa paisa kamaane me mujhe waqt lagega... lekin ek din Unnat ko dekhkar khush ho saktaa hun... mujhe aise log dekhane chahiye jo mere jaise background se uth kar aaye aur yahaan mehnat aur imaandaari yaa gairimaandaari se wahaan pahunch gaye jahaan main pahunchna chaahunga.

to esase badhiya kuch hoga hi nahi....

khair us samay itni akal nahi thi... marine lines par aise kuch jagah the jahaan par main jana shaan samajhtaa tha... lekin us din Gunjan ko main wahaan nahi le jaa paaya.

aur us din mani pareshan ho gaya tha... mere paas ke paise khatam ho rahe the... aur Gunjan ko Varanashi pahunchana tha... aur usake baad bhi kuch paise hone chahiye the jisase kaam chal sake.

Virendra Shahaney ke yahaan kaa 10k kaa job bhi jaa chuka tha... ab us job ko maine doosara job liye bina kaise jaane diyaa... ye pareshan karne lagi... unake yahan wo 10k waala kaam bhi nahi mila.

Kai writers se baat karne ke baad Sampoorna Anand ke yahaan kaam mila... unhone 15 days ke probation par rakha.. esase pahale bhi probation par kaam kar chukaa tha to yakin tha probation nikal jaayega... main unaki story meeting attend karne laga.... wo kyaa discuss kar rahe the wo samajh hi nahi aata tha to usame main contribute kyaa karun...

unhone mujhe ye baat 2 din baad hi bata diya... ganeemat thi ki unhone mujhe ek screenplay sample --- ussi serial ke liye likhane ko diyaa... wo bhi unahe pasand nahi aaya... aur finally unhone pyaar se mujhe jaane ke liye kah diya.

us din meri fatt gayi thi... lagtaa tha ki koi kaam dega hi nahi.... jin senior writers se main baat kar raha tha wo sab umeed jagaate lekin aage ki baat karte the. umeed ke sahare makni tikaa tha lekin fatt rahi thi.... maine doosare raaste jo IIT coaching to Software yaa phir IIT aapas research karne ki taraf ishara kar rahe the.

maine maan liya tha ki agar mera film industry me kuch nahi ho paaya.... wo bhi kaheen se 50k... us samay mere liye yakin ki baat nahi thi ki mujhe itne paise mil sakte hai.

phir ek din Charmaine ne bataya ki Fireworks Aahat serial ke liye writers dhundh rahi hai... maine wahaan ke liye ek kahani likhi aur unako bhej dia... unase ek baar milane bhi gaya aur wo bhi theek thaak saa hi laga.

usako dene ke saath hi maine lapataganj me bhi kuch try maara tha.... yaa to ek episode ki kahani likh kar bheja tha -- i think yahi tha. Ab esake sia mujhe koi rasta nahi dikh raha tha... aur mani Pune chala gaya... wahaan jaakar dosto ke saath raha -- unaki sharaab aur cigarette.

kabhi kabhi lagtaa tha ki kyaa yahi mere ache dost hai... kyunki ye mujhe pilaate yaa bardaast karte hai... es baat ko to main aaj tak nahi samajh paya.

definition of friendship.

wahaan par jab tha to Lapataganj se bhi milane ko bulaya gaya aur fireworks se bhi... mujhe khushi fireworks ki thi ki wahan job type kaam tha... lekin ussi din mera pair toot gaya... aur main Mumbai nahi aa paya.... bahut pachtaa raha tha ki aakhir ye pair ko bhi abhi tootana tha.. meri baat par wo yakin nahi karenge aur meri job chali jaayegi.... tat episode is also good... ki main kitna pareshan hokar socha raha tha.. apne har ek baat ko sateek tareeke se rakhne ki koshish... jo huaa tha wo naa bata kar wo bataaun jisase sympathy aaye, mani bewakooph naa lagun.

waise ye sach to bahut kam logo ko bataya gaya ki aakhir pair sahi me kaise toota hai... usake baad main kissi tarah se khud ko force karke 2 din baad hi Mumbai aaya... aur wo job accept ki.... unhone bola maheene kaa 20k aur main maan gaya... unhone bola ki kahani kaa bhi milega... maine aaj tak 35 hi kamaaye the... aur mujhe laga ki wo ek naa ek to nikaal lunga bas usakaa rate nahi bataya gaya aur maine kabhi poocha nahi jab tak ki mera rate poocha gaya... balki sunaya gaya... 22k I think... magar mere liye bahut tha... kyunki maine jitnaa socha tha utnaa nahi kamaa raha tha lekin jitnaa mil chuka tha utnaaa kamaane laga tha.

phir main to yahi maantaa tha ki mujhe writing nahi aati hai... aur main wo job par seekha with income ke liye join kar liya... phir to kahaniyaa likhtaa raha aur paise banate rahe.

Competition ke hisaab se kam bantaa lekin mehnat se kaaphi barabar karne ki koshish karne laga.... mujhe frustration ho rahi thi... lekin main ye soch raha tha ki main likhnaa hi kyaa jaantaa hun aur wahaan ke siwa koi option nahi tha... to main wo option barbaad nahi karna chahtaa tha.

es tarah se wo kam paiso kaa bojh badhtaa raha... usame charges ki koi badhotari nahi hoti... bas main jyada kaam nikaal kar manage karnaa seekh raha tha... aur phir ek din mujhe yakin ho gaya ki main us company me jitnaa kamata hun utnaa to freelance me bhi kamaa saktaa hun.

waise usake pahale maine jo freelance kiyaa tha usame 1 saal me 35k kamaya tha.... to wo ek tarah se wahi salary thi jo maine apni pahali tv writing me ek maheene me kamaya tha.

us waqt mujhe lag raha tha mere paas 1 aisa idea hai jo mujhe crorepati banaa dena.... aur itnaa ameer jo mera khwaab tha.

aur 1 lakh kaa kaam mil jaayega.... kyunki kaam mile aur maine unako karane me koi dilchaspi nahi dikhaayii aur wo mauke pata nahi kitnaa bante lekin nahi bane.

ek baar phir industry mujhe reject kar rahi hai... aur main industry me rahun yaa chala jaaun uspar vichar kar raha hun.

agar akhiri kaa part thoda jaldi me likh diya hai... ab agar aage kabhi esako likhane kaa man hoga to part 4 bhi aa jaayega.

dekhate hai!!!!

   

           


nothing around now

I have been checking things from all anglke.
but they are always claculations doen in mind
the problem always remanis same
you just twist and turn it
though i have heard changing this way will rarely help

then i think of doing something

but i have to do something which can give me money

as final pursuit is also money

that's not much of a problem

not writing stories --- always felt asif cheated

looking for guidance

do you know north star

follow it

if you get a job -- get it

if you think that it will give a new exposure... also chance to work on moviedlx

god knows from which angle

but at least financial stability

and data figuring would really help

Enako kahe the ki 15 lakh de dijiye

lekin nahi mane --- ab VC ke paas wala maukaa aa gaya hai

yahi mujhe tab nakki karna tha

aur main wahaan se nikal bhaga

saayad ruk jana chahiye the

paise ki chinta ho rahi thi

jo pocket me the usase jyada ki aayenge kahaan se





   

free is tempting

almost everything that is available in free makes itself tempting... as if we are not going to lose anything.

so if we are not going to lose anything then we are going to gain -- prize may not be bigger.

yet it would be certainly +ve with my current state.. though most of times we have opposite feeling.

that keeps on going... recently few free things have started putting aversion --- by looking at the star sign.

I have also done one thing that I have thinking for some time. send some free tickets.

   

Friday, August 23, 2013

moviedlx

esako main kis jagah se chalaaunga to faayda hoga??
aaloka jo batayega usako observe bhi karna hai --- research on opportunities and threat --- and in how much time I would be delivering something gud through moviedlx or other.

I am still feeling as on backfoot --- regarding writing as well as moviedlx or anything else

a startup feel coming from each side -- to itne samay me paisa kamaane ka aur koi tareeka nahi seekhe --- taaki yahi wo paisa kamaate raho aur dekho aage jo karnaa hai wo kaise hoga.

company kaa account hamesha sahi se operate hona chahiye

wahaan jaakar sab kuch acha hoga ... jabki pata bhi nahi hai ki kyaa kya hota hai... aur wo acha bhi hone me time jaayega

us time me aapko kaam karke hi ghar chalana padega --- baat wahi ki wahi rahegi -- -wo abhi sahi dikh raha hai

1-2 saal baad industry me aaoge -- except moviedlx to phir yahaan kuch bhi join karne ko nahi rahega

aur naa to us samay me main paisa kama chukaa hounga... even for that sake any skill prominent enough to cash big

moviedlx ke bina socho --- doosara kyaa raasataa bacha hoga??

abhi jitna udhar ho gaya hai -- usako chukaane ke liye bahut kamaane ki jaroorat hai

aur kamaai kaa koi raasta hi nahi hai -- siwaaye moviedlx ke --- wo bhi kab aur kaise kamaa ke degi eskaa to bharosha nahi kar sakte --- 1 saal yaa phir 2 saal --- utne samay me bhi agar tai ho --- to us time me jaroorat ke hisaab se doosara skill kyaa sekha jaaye... college me kuch professors baahar ke project karte hai.. and they are good projects... agar 1 saal unake saath laga jaaye aur kuch project kar liye jaay to phir wo companies join ho sakti hai... tat can be a good thing.. lekin aisa koi project dimaag me hai kyaa??? yaa phir aisa koi kaam jo main kar paaunga.

I think chalte raho... jo pathar fenkana hai wo fenko.. dekho kyaa hota hai.... tats only way

  

what to do?

life me bahut kuch kiyaa jaa saktaa hai.

lekin kuch naa karne aur kuch karne ki vajah me kyaa farak hai.

kyun ham kuch kare aur kuch nahi kare

es baar to analyze karna padega -- ki opportunity and threat

and among st options -- actually thr r not much.

with constraint and expectation --- with limited focus -- thr seems to be very few

  

what am I doing?

I am planning to move to IIT if that is possible!!

core strength of running Moviedlx.

writing and film industry kaa kya?

writing to ho nahi rahi hai... aur itna challenging bhi lag raha hai ki aage continue na ho paaye

to kuch aur alternate aur wo acha khasha pay karne lage usame kuch to time jaayega.

moviedlx as a platform --- usako incubation ke liye kya paisa milega... main kyaa develop karne wala hai??

this is a technology company --- main paisa kamaane ko lekar hataash ho gaya hun.

aaram se baith kar kahani likhenge --- wo sapnaa poora nahi hone wala... aur ussi ko career banana hai -- agar ye kasam khaya hua hun to phir sochanaa padega.

mumbai me rah kar business karna --- jabki main abhi bhaag raha hun.

kya kya karne kaa soch raha hun... fix mind hai hi nahi 

what is that analytical tool

we would have to find that analytic tool that everyone is working upon... to understand the consumer behavior.

its my notion of something that I have not seen... just heard and getting fascinated that once I will do this... I will be great.. otherwise whats there to do in moviedlx?? except running it... so now running from here in place of running from IIT is much better choice... if I am earning that much money... but will they be willing for such sort of incubation???

Don't know how it will be done... and if done will it be for good!!

Think about all the choices one day --- compare them clearly.

break from industry will never hurt... if you are connected to few people... even for that sake from anywhere.. just settle that something in 2-3 years which will give a proper financial safe place.

I don't know why am I so concerned for it... so much.

   


technology waali company me kaun invest karega

agar ye socha jaaye ki es cmopany me invest karne laayak kyaa hai

to saayad kuch bhi naa dikhe

aaloka ek idea bataayega to mujhe chamkega

yaa phir main pahle wahan research ke naam par pahunchun aur phir wahaan se eskaa development karun

streaming kaa back end develop karna... yaa phir research and company... track and best use of scattering of consumer internet... ab ye sapnaa tootega to bahut dukh hoga.

things are delicately balanced.... but these things happen... chamatkaar hote hai

3-4 maheene me 50k per month kaa ho jaaye to maja aa jaaye

wahaan rah kar to sahi hai --- pahale kuch din wahi kaam... baad me dekha jaayega ki aur doosara kaam kaunsa karna hai... moviedlx ko chalaane ke liye main wahaan aisa kyaa karunga.

I am again playing with another snake.  

technical issue nahi hai --- par bahut bada challenge lag raha hai

yechnical aisa lag raha hai ki bahut hai...

jabaki usame kitnaa kuch hi hoga.. lekin kahin na kahin se start to karna hai.

kaise wo post jaati hai... wo post kaise bantaa hai.
uspar design kya banega?

aisi cheejein to aap wahaan jaakar nahi kar sakte --- ye research and mastry aapko yahi se mil jaayegi

aapko aisa kuch karna padega jo worth doing ho --- aaj maine phir apnaa muh bahut jyada bada khol diyaa hai...

ye kya ho raha hai??

kyaa mera IIT wala decision sahi nahi hai??

agar wahaan rahne ko mil jaaye aur pocket kharch 30k... to kyaa bura hai.

research life badhiya hai... aur wahaan se aap aaram se apni company kaa incubation jisake liye jo bhi development karnaa ho... wo kar sakte hai... ek baar wo cheej to finalize karni hi hai ki aakhir chahiye kyaa...

to abhi tak sirf ye hai ki ye life aur 30k mast rahega... agar abhi plan nahi hai ki wahaan kyaa karunga... to bhi wahaan rah kar acha kuch soch lunga... waise kaaphi kuch socha huaa hai... lots to do... bas paise kaa maadhyam kholna hai... ab wo jaise bhi ho!!!

ye main bhaag raha hun kyaa... kyunki wahaan future kyaa hai??

wahaan se aane ke baad kyaa main phir se struggle nahi karunga.... aisa kyaa behtar ho jaayega??

thinking too much... abhi kuch bhi nahi hua hai!!!

wahaan se kuch to product banakar becho --- lekin wahaan jo log yaa exposure hai wo kaisa hai... bhai tumhe jo karna hoga usake hisab se sochoge na... abhi esako thought mat do.

kahani likh kar bhejo --- warna shaant raho.  


twitter handling

Today I realized one thing... tat to handle your twitter... one must associate and find tweets which are interesting.... these tweets will be redirected or somehow processed to catch attention.

enough eyeballs... mean promotion -- but that people are building... if you can build this then it would be gr8

tabhi to mann ho raha hai ki IIT me job me mil jaaye... research scholar ki... to mast thode paise bhi milenge... rahne, khaane aur internet ke paise hai... upar se iit me apni company dalne kaa mauka dhundh lo... to usase paisa bhi bantaa rahega... bombay me main ek employee ko hire karke rakh saktaa hun... aur iit me research kar saktaa hun.

yahi proposal tum JDutta ko do... agar wo es baat ke liye maan gaye to samjho ki kaam ho gaya.

to ab aapko ek company formation kaa proposal paas karwana hai es idea ke saath.

lekin esako agar maine ye kaha ki kaise ye industry ke liye useful hoga... aur poora project ko bad samjhaa do... esase kyaa hoga ki IIT me jagah mil jaayegi... ek baar jagah mil gayi phir mast Unnat singh wahaan rahenge... jindagi ke 2-4 saal aaram kiye jaaye... thoda jam kar jiyaa jaye... jindagi wahi hai.

lets try it!!!!  

Promotion cell me itnaa kaam hoga --- ye dekh kar samajh nahi aa raha hai ki ye sab operate kaise hoga!!
lekin ye kaam to karwana hi hai... haan IIT ke andar agar yahi company khol diya jaye to bahut paise mil sakte hai aage ke liye.

Digital / Interactive Media

Discover a role in Digital / Interactive Media, where our employees can work on the latest content and technologies to entertain and inform audiences around the globe. We push the boundaries of how we deliver innovative entertainment experiences. Areas where you may exercise your digital expertise include online, gaming, media, digital content, mobile / wireless, advertising, social media and technologies including audio and video platforms. Exciting work might involve site optimisation, web analytics, online e-commerce trends, viral social media campaigns, virtual world and product marketing. Opportunities in professional and managerial positions include:
  • Digital Marketing Jobs - Online, Interactive, Integrated, Product & Mobile Marketing
  • Sales
  • Business Development
  • Product Management
  • Product Development
  • SEO / SEM Jobs
  • Web Analytics
  • Web Development / Technical Production
  • Advertising - Planning, Account Management, Ad Operations
  • Content Development
  • Content Marketing
  • Community Management
  • Social Media & Social Networking
  • e-commerce
  • Platform Architecture
  • Digital Editorial / Blogging
Our Digital / Interactive Media employees use their passion for technology to lead us through the evolution of the Digital Age.

Thursday, August 22, 2013

phir se chinta sataane lagi ki main kyaa kar raha un


dimag ki abhi jo sthiti hai

dimag ki abhi jo sthiti hai... usake hisaab se main thoda excited bhi hun.... thode bahut sawaal hai dimaag me... aisa lag raha hai ki wo waise bhi bahut din se the.

un sawaalo ko maine kai baar dekha aur najarandaaj kiyaa hai.

to ab un sawaalo ko dekhane kaa samay aa gaya hai... lekin sawaal ab bhi wahi hai ki kyaa aur kaise main en sawaalo ke jawaab dhundh paaunga.

man peace me bhi hai kyunki kuch kuch kar raha hun... pata nahi kyaa hoga.... lekin pahale ki tarah jaise kahaniyaa likh kar behane ki sochataa tha... ab wo din aa gaya hai ki mani bahut se logo ko jaantaa hun aur koshish karnu yaa saaman ho to suna bhi aaunga... bas jaise aaj baith kar kaam kar raha hun waise hi karta rahun.

thoda kaam chal nikale to phir ek office bhi lena hoga... yaa phir kuch to settlement karnaa hoga. 

main bhi bahut aalsi aadmi hun

pichale kuch dinno me ehsaas huaa ki main bahut hi aalsi aadmi hun

hamesha ye kahtaa raha ki main pareshan hun aur doosari jaroori baaton ko dekh raha hun.

jabaki aisi bahut si baatein thi jo mujhe bhi soch leni chahiye thi... yaa phir main agar mehnat karta... wahan par thoda darr kaam kar gaya.

lekin abhi bhi yahi baat hai ki aap aage ki planning kaise kar rahe hai.

ek plan karke to latkana hi padega tabhi kaam banega warnaa to aise kaam nahi chalne wala hai.

abhi apne resource jo maujood hai --- jo laane padenge --- unsabkaa result kya hoga?? --- aur main kyaa achieve karunga???

ek to nayi nayi films ko touch karte rahnaa hai... har wo film jisame potential dikhe usase to baat karni padegi.

doosari taraf facebook par to promotion karna hoga & newspaper me bhi esako publish karnaa hoga taaki ye baat kuch aur logo tak pahunche.

esake saath aur kyaa karnaa hoga...

bhai apni writing par fulltime dhyaan do ---- to phir es business par kissi ko full time sochnaa hoga.

If I think there is a possibility then I need to put in efforts ... abhi bhi main usake haath planning karne kaa chod kar baithaa hua hun --- to phir ye gadbad hoti rahegi!!!

to maksad to kai baar clear ho chukaa hai -- ab us maksad ko achieve karnaa hai!!!

phir wahi baat aa rahi hai ki funding ke bina kuch nahi hoga.

funding yaa to apne tareeke se aayegi --- ya phir usake liye VC ko dhundhana start karna hoga.

VC ko dhundhane kaa kaam bhi simultaneous karnaa hoga.. scaleup karne ke liye paise to chahiye.... ab ye scaleup kis range kaa hoga aur usame kitne paise kharch honge aur uskaa return kyaa aayega.

FB and youtube promotion is not that difficult --- yes money utilizing and money efficient strategy develop karni hogi.

wo main ek business plan likhane wala tha... wo bhi kuch din me karnaa hai... so that is a work that I have to achieve in this time... while set a strategy so that Ashutosh will be motivated and will work for acquisition of films.

He will take out revenues from filmmakers in tune of 20 - 30 thousand per month... hopefully ticket sale will also give some money but we should figure out a way so that we can make money from ticket sale.

So we need to develop a mechanism -- ye plan me tha ki filmmaker aur usake crew ke logo ke saath milkar ek online campaign taiyaar karnaa... --- ab ye online campaign ke liye material taiyaar karne me bahu tsamay nahi dena hai... bas post regular jaani chahiye taaki baat door tak jaaye... per film kamase kam 1 lakh logo tak... to acha khasa bheed jama ho sakta hai.

--- ab ye sochana hai ki hame kahaan kisase milna hai --- hamlog apni taakat aur apne paise ko kahaan focus kar rahe hai... jyada se jyada films jama karne me --- unako upload karne me --- unakaa promotional campaign banaane me aur wo campaign chalaane me... --- esake baad jo second cheej innovate karne ko dikh rahi hai wo hai promotion ke liye hamaare website me aise kaunse tools honge jo prospective clients ko kheenchenge... tat will be technological achievement!!! [ye ek cheej aisa samajh me aa raha hai jo hame develop karna hoga -- aur yahi par meeting with tech guys and going around in forums aata hai]

there will be people who will develop this algorithm... but jab ye baat samajh me aa gayi hai to ye baat kaheen naa kaheen to maujood hogi... hamaare form me naa ho lekin hogi... to ab hame usake apne use me karwaane ke liye kaam karnaa hoga.... Aaloka thoda bahut jaantaa hai esake baare me --- aur hamlog mehnat karenge to aur bhi pata chal jaayega. -- chalo esako aaj main apne research waale list me daal deta hun.     

mere bache ke stuffed teddy

abhi subah likhane baithaa to bagal me mere bache ke stuffed teddy rakhe hue hai... usame ek kutta, doremon, aur ek squirrel hai.

they are all pretty..lekin abhi sab udaas dikh rahe hai as if waiting for Unnat singh to play with them.

main bhi usako kaaphi miss kar raha hun... my sweet lil child... lovely.. we would have a lots of fun as family & friends. 

har baat ki coaching hai duniyaa me

duniyaa me aisa lagata hai ki har cheej ki coaching hai

class paas karne ke liye coaching

class jaise jaise badhtaa gaya

coaching kaa fees badhtaa gaya ---
waise technician kam milne lage

phir IIT was a change kyunki Muz me kuch khaas rasta samajh nahi aa raha tha

to wahaan se nikalane ke baad Delhi... wahaan bhar ke coaching --- lekin again wahi crisis of talent

wahaan se samajh kar ki kaise IIT karna hai --- ghar par jo maujood aur samay ke saath sahi se available the... usake saath mil kar wo crack ho gaya.

phir film industry me aaya --- to yahaan bhi coaching

sala ab bola ki bas

nahi kiya

aaj bhi lagtaa hai kar lena chahiye tha

socha tha on field kissi gurudev ke andar seekh lunga

lekin target hazaar hai

jo karnaa hai wahi kar paaoge

yaa phir samay hi bataayega ki aap kyaa kar paye

aur main maksad hai ki survive karte rahiye aur mast rahiye

khair ye business open karte time bhi bahut saare jhamele aur sar dardi -- bahut si baatein samajh na aaye

wo sawaal hi dimaag me naa aaye jo log poochate rahte hai

lekin uspar se kaaphi dhundh dhundh kar nikaale

uspar kaam bhi kiya

to ye successful to lag raha hai

lekin consumer ke hisaab se kyaa

waise bik sakta hai

koi bahut challenging nahi hai

thodi programming karni padegi

khair ab esake jo seminar hote hai --- wahaan par ham kya karne jaate hai --- sekhane yaa phir networking karne.... kyunki enake baare me pata to network se hi chalega.

so try to be open up..

ho jaayega wo bhi samay ke saath

jo seekhana hoga... aur mere khayaal se major challenge to deal crack karna...

paise banana --- aur presentation dena... apni uplabdhiyo ko duniya ke saamane rakhnaa

aur uplabdhiyaa karte rahnaaa

keep bigger goals

and achieve them

baaki sab darnaa aur nahi ho paayga wahaan bhi hoga... lekin karna padega

aur ho jaayega --- kuch aur mentor dhundh liye jaayenge

ab to network kaa matlab aur usako kaise sambhaal kar rakhnaa hai

samajh aa gaya hai

par day to day interaction to tough hote hi hai

aur company chalaane me museebat nahi aaye aisa to hoga nahi

khair coaching ---- har wo cheej jisake liye log paagal hai -- usake liye wo sabase jyada fee dene ko taiyaar hai

amazing things are around

costly, expensive, beautiful.. -- par ye 20 crore dene waala aadmi --- agar itne paise dene kaa sochega -- -to dekha jaayega ki terms and condition --- mere khayaal se har kuch time ke saath hi hoga.

wo leap bahut bada hai --- isliye samajh nahi aa raha hai --- lekin hindi film me bhi 10 - 15 crore ki baat karte hai -- es hisaab se bahut jyada to nahi hai -- ek film ke hisaab kaa paisa hai --- 20 crore par unako return miltaa hai --- 30 crore.. yaa jo bhi yahaan par huaa ho... lekin hamlog es 20 crore se kaise super wajandaar setup kar sakte hai --- tat money must be spend very foundation stone type.

sala main sabase pahale kyaa khareedunga -- -usake baad kisako hire karunga --- aur mujhe sabase pahale kaunse kaam complete karwaane honge... pahlaa business kahaan se aayega... aur main kaise effective business ka start kar saktaa hun.... ek film ke release se to ho saktaa hai... 15 lakh kharch me --- 10 lakh aur maan lo... aur essi beech es website ko film se bhar do --- ye karnaa hai ki nahi wo soch lo -- lekin agar ek segment pakadoge -- -to us segment ke log India me kahaan kahaan hai wo find out karna hoga... wo bahar kahaan hai wo trace karnaa padega... un tak pahunchane ke kharche kyaa hai --- wo trace karnaa padega--- un tak wo film kaise pahunch rahi hai uspar bhi research karnaa padega... to wo market hamlog hit karenge.... ek to niche films wala market hai.. lekin us niche film ko kis segment tak pahuncha hai -- kyunki sab internet community ke hi subset hai ---- hame kaunsa subset uthana hai --- wo jo pahle paisa lagaayega uspar depend karega --- yaa phir hamara long term goal kyaa hai??

ek baar wo goal final kar lete hai --- aur us goal par chalenge --- wo hamaare liye feasible and viable plan hai... jitne samay samay par hame next capital chahiye wo ham laate rahenge... ab jaise hi tum itnaa sochane lage --- to baareek mat socho --- samay par soch loge... abhi essi step par hai.

to yahaan ke hisaab se set karke --- jo baat ek baar st ho jaayegi... wo es step ke liye set hai jab tak ki saamane se question nahi aata hai... set karne ke pahale discussions and hunting hogi.. tat will help to figure out the plan we are looking to execute -- and hitting VC or angel jo bhi chahiye.


ye main kaisa hun

ye ajeeb si feeling hai

koi mujhase aage hai

yaa wo mujhase peeche hai

yaa main sabase aage hun

yaa main sabase peeche hun

arrey aage peche kyaa hota hai

kataar me khade hai sab kyaa

almost like that

kyunki ek kataar to hai --- lekin us kataar ka ek maksad hai

ab train se nahi jaani aur aap ticket ki kataar me khade hai to aapko bura lagega hi

main apni hi baat karta hun

kyun main har kataar me khada hone ko jama huaa hun

ab bandar agar ron lage ki bhai mani to paani me rahtaa to sahi hota

machali ki life ki tarah

lekin aisa nahi hai ---- agar hai bhi to koi baat nahi --- tum usako bhi jeevan kaa ek hissssa samajh kar jee lo

sab sahi hoga --- kyunki tum aakhir ussi ke liye to pareshan ho

dilli jaane waali train me har waqt dilli chalo -- dilli jaane waale hai --- yaa phir monotonous sa hi announcement nahi hota hai

aap har waqt poochate nahi rahte hai -- ki train delhi jaa rahi hai kyaa

kabhi kabhi bhram ho saktaa hai

aapko suddenly lage ki aap kissi aur train ke safar me jaa rahe hai

aaj khud ke bare me ek baat jaan kar acha lagaa -- kuch log hote hai jo har waqt chalte rahte hai --- wo khali baith hi nahi sakte hai --- jab aisa weg shareer me aa jaaye kahe yaa hota hai --- ye ek bada hi chakkar hai ---- entrepreneurs kaa matlab pata nahi mere dimag me kaisa ho gaya hai -- -office aur wahaan kaam --- ye to sahi hai --- karna to padega na -- then you have to invent and reinvent --- play around with ideas and executing them --- experimenting --- so you are --- always inspired by that kid -- -who blows father's train --- just because he was doing some experiment --- or he was man himself ---

waise to aisa har koi hota hai --- par saayad aisa nahi hai --- chalo wo ho yaa na ho -- ye to kabhi pata nahi chal paayega ---

haan to main mudda jo ye blog start karne kaa tha --- wo ye tha ki main soch raha tha ki yaar kuch log viral fever bana kar production company daal liye... kuch ki writing me mast production houses se dosti hai --- aur kahaniyo par kahaniyaa paas karwaaye jaa raha hai.

main to khud ke haath se hi chodane ko taiyaar nahi hun.

kyunki maine abhi tak koi riyaaj nahi kiyaa hai... upar se meri maansiktaa hai ki bhai jab main kahani bana hi nahi paa raha hun... mujhe wo judgement nahi aa paa raha hai ki maine kahani likh li hai.. usako pass kara dnuga aur jisake liye likha hai usako bech bhi dunga...

agar ye karne lagunga to apne aap mera writing kaa career chalne lagega.

theek hai --- yahaan tak bahut defend karne ki koshish ki gayi.

next ye hai ki main jabase film industry me aaya.. hamesha yahi maantaa raha ki mujhe kuch aata hi nahi hai... ab ye jo kuch hota hia wo kyaa hota hai... jab tak usako define nahi kiyaa jaayega... lekin mujhe commerce dikhane lagaa... ye hamesha 2 taraf batane waala jo kaam hai na

science me gaya... jahaan bahut kuch set tha --- pata nahi espar to baat karne kaa mood hi nahi kar raha

abhi bhi lekin us hisaab se maine maamlaa jama liya hai.. aaj mere paas eCommerce company bigflix ko takkar dene kaa dava hai... youtube ko kaise karoge log pooch rahe hai.

enako es tarah naa liya jaaya ki ye boasting lines hai.

ye sirf bata rahi hai ki ye sawaal mere kuch dosto se nahi pooche jaayenge... eskaa matlab ye nahi huaa ki kaun aage aur peeche hia.

ye sirf ye batataa hai ki ye main hun... duniyaa ne yaa aapne... kyunki ham bhi ussi duniyaa ke aadmi hai jo khud par julm kart hai.

khair wo julm nahi hai balki doosaro ko wo dene ke bahaane jo hame sahi lagate the.... usako poora karne me busy ho gaye... baar baar aage waali peedhi ke naam par bill faadte raho... kyunki jo koi bhi aadmi banana chahega us aadmi kaa chehraa usake aankho ke saamane rahega... es tarah se agar aapke aankho ke saamane dada ji kaa photo hai... to aap lamba jiyoge.. lekin agar young launde kaa hai... to usake baad ki to koi kahani hi nahi hai... major guys famous ones -- smart looking in my industry... atleast.... how do I look?? --- far beyond them.

sala kabhi unake jaise lagane ke liye kuch aur karnaa padega... sala aise khel me aakar kood gaye -- aur saayad paisa kamane kaa trick aata ho... don't know Guru kaise manage kartaa hai... but he is very diversified... which i liked one day.... admire today also & did that day also.... but I want to do something... aur usako final karne me thoda time lagtaa hai.. and I get success.... haan lekin aajtak bahut contemporary in similar situation... phir comparing.

dekho abhi sirf itnaa yaad rakho... tum Ajay ho... Moviedlx chala rahe ho... kuch maheene apne dam par chala loge... writing se paisa aur wahaan kaam sahi chalane laga to 2-3 saal bhi kheench dunga.. kyunki writing me ghusanaa hai to agale 5 saal to ab daba ke likhnaa hai... ye kaam start ho gaya... tab bhi writing me to hun hi... part time aur kabhi kabhi full time. :) :)

dekhate hai --- kabhi film banaa paate hai.. videos youtube par hi daal raha hun.... tv par kuch khud kaa likha aur direct kiyaa huaa chal raha hai... hoga hoga.... jo cheej dil ke itne kareeb hai usako to hokar rahnaa hai!!

maja aane wala hai.
   



about company

ab hamaare liye kanusa payment gateway jaroori ha i--- aur sahi rahega --- ye to hamlog 2-3 din me decide kar sakate hai.

hamara promotional activity plan kyaa hoga --- wo bhi ek team hogi --- yaa phir us team ko bhi outsource kar lenge depending upon kaam kyaa hai... startegy decide hone me kuch din lagenge... aur phir aage usako implement kaise karnaa hai aur usakaa budget --- uskaa revision and then we can implement.

lekin agar promotion kiska karna hai wahi nahi hai ---- to phir ham kiskaa promotion karenge --- aur usakaa plan kaise banaayenge??

ab dimaag me aa raha hai ki esake liye funding jugaad ki jaaye --- es funding ke jugaad karne ke liye abhi hame ek angel chaahiye jo ek jagah tak lekar jaayega.

us angel ke dam par ham kuch prove karnaa hoga --- wo sab clear ho chuka hai --- aur yahi par paise kaa crunch hai aur usame samajhnaa hai ki ham kaise steer kar lenge.

to crore kharach karne ke liye bhi har taraf kharach ho saktaa hai --- magar lakh kharch karke kuch hi cheej ho saktaa hai --- par us laakh me utnaa hi kuch chahiye --- that is business -- return kissi tarah se define to hoga!!!

I think first step to clear hai --- ki ab hame funding ki jaroorat hai!!!

Angel chahiye/ ya first round chahiye / VC --- ye ek fix kar lo --- aaj esako main final kar dunga --- again esako sochane ke liye kuch ghante chahiye.

aur phir kuch din lagenge ki ham us angel ko kyaa deal de rahe hai --- baaki hamaare deal me usane kuch doubts uthaaye to phir dekha jaayega!!!

to angel dhundhane kaa kaam start hota hai --- AB

--- without any doubt ---

competitor analysis & market survey naam ki ek cheej hoti hai --- aur usame hamane kyaa kyaa abhi tak nahi kiyaa hai -- wo bhi samajhnaa hoga!!! -- chalo esako bhi samajh lete hai. --- mere paas ek business plan hai!!!

wahi plan hai --- jo soch rahe hai --- jo itne din brainstorm karke laaye hai wahi plan hai
usako ek jagah jot down karte jana hai --- to wo ban jaayega --- bas!!!

--- esako karnaa start kartaa hun ---

aur es baar ye plan main khud akele ke dam par banaaunga -- har din 2-3 ghante dekar

feedback banaane ke baad --- start me pahale jot down karte jaao

  

writing as career

Writing -- achi hai.

kahani dhundhana ek challenge hai -- jo sabake liye hai.

kahani likhane kaa tareeka seekhate raho lekin sabase jaroori hai ki likhate raho.

kahani likho -- logo ko sunane ke liy daudo -- bechane ki koshish karo.

writer kaa career yahi hai --- agar imaandaari se mehnat karoge to safaltaa jaroor milegi.

linkedin par connection banana start karo --- yaa phir aur bhi koi online medium ho.

  

always scared of the next

always scared of the next thing -- is the biggest trouble.

start counting failures & there will be few.

others are because I have not tried.. not trying is also like failing --- yet situations are always ripe or unripe.

the point to understand --- & note down --- have firm believe upon something --- start accumulating data.

every present will be past and every future will be present -- so there is no point of worrying about it.

what I have invested or sown will present some situations -- as it must --- so I can assure only one thing --- that I will be ready.

So am I planning for that hat to don. -- so lots of questions -- and speculations.

warna idea to bahut simple hai --- ab esako hame convince karnaa hai. --- ki ye profitable hai... aage koi naa koi company to aayegi ---- to we can sell this company to that media company.

Aur startup me aisa ghabrana chaltaa rahtaa hai --- kyunki saari cheejein sahi hogi -- aur har baat sahi chalegi -- ab hamlogo ne jitnaa kaam kiyaa hia usako hi execute karnaa hai.

esame 2 kaam major hai... ek to public relation --- promotion planning --- jisame online and offline dono aayega --- to wo to kiyaa jaa sakta hai --- kyunki koi bhi agar jaantaa hai. chaahe kitnaa bhi experienced ho agar hamane ek baar ye samajh liyaa ki kyaa kaam karwana hai to hamlog figure out kar sakte hai.

abhi tak logo ke saath jhagad aur pange hue --- uskaa ek kaaran tha ki planning nahi thi --- ki kisase kyaa karwana hai aur uskaa kya result aayega aur ham kitnaa afford kar sakte hai.. to kuch jhagade es kaaran hue.

kuch es kaaran hue ki logo ko esame paisa aata huaa nahi dikhaa so they backed out. There can be several reasons but that does not matter.

Chintu aur Ashu bhi acquisition kaa kaam sahi sambhaale hue the --- ab yahaan samajhnaa hoga ki kaam kaise hoga?? waise ek baar hamlog ye final kar le ki kyaa karnaa hai to kaam ho hi jaayega.... esame kyaa panga hai?? abhi darr lag raha hai --- jab saamne kuch hai hi nahi to dikhega kaise??

baaki competitor analysis & business plan jo ab tak nahi bana hai --- uskaa thoda idea hai bahut detail me idea nahi hai... aur jo naye log aayenge --- par ye kaise hoga??

yaa phir abhi jaise chal raha hai -- chalne do --- aage aane par dekha jaayega!!
 

Wednesday, August 21, 2013

constant buzz in head

It seems impossible to focus on something.

ye bhi kar lun wo bhi kar lun... ye nahi huaa aur wo nahi hua... ye ho jaayega aur wo nahi hoga... .es tarah ke rise & falls in hopes.. jinakaa koi base nahi hai.. bas random hitting hai.

ek fix plan bana kar bhi follow karne kaa bana hua hai... lekin wo bhi follow nahi hota hai... aur actually kuch na kuch to hoga hi... sab haasil kar lun... aur usame paisa bada motive hai... kisase madad maang lun aur kau mera beda paar kar dega.

bas yahi sochate aur chintaa karte hue... wo mujhe accept karega ya nahi ... wahaan se paise aayenge yaa nahi.

wo wala kaam kar paaunga yaa nahi.... ye bhi nahi pata hai ki karna bhi hai yaa nahi.

khair ye sab chaltaa rahega --- tum bhi chalte raho -- aur bas kaam karte raho --- thoda panic saayad freelancing kaam karne kaa bhi hai.



120 hour work time

aaj ek nes padha ki meriyl lynch me ek intern kaam karte karte mar gaya.. kyunki wo 3 din se whaan kaam kar raha tha.

God knows ye sab kaise ho jata hai -- yaa phir main us pressure ke baare me sochataa hun ki samajh paaun.... kyunki ladkaa maatra 22 saal kaa tha to saayad health issues to nahi honge.

waise kharcho kaa pulinda jo bandhata jaa raha hai -- usake hisaab se mere andar bhi jo khalbali machi hui hai --- wo ghabraane waali baat hai.

ussi news me ye tha ki en companies me intern se 120 hrs per week kaa kaam liyaa jaata hai... main yahaan apne aapko 40 hours per week me wrap up karne ki koshish kar raha hun -- jabki meri sthiti financially to intern se jyada behtar nahi kah sakte.

to ab mere apne limit se ye 3 guna badh gaya... week me 24x7 = 168 hours hote hai.

to es tarah se agar main 120 hours kaam karta hun --- jo ki mera man ho raha hai ki 1 month to kar hun lun... par kaam kisako kahte hai wo kaise define kiyaa jaayega.

I think I should start writing marathon script... Gunjan ko bhi abhi aane me samay hai hi... to ye ho bhi saktaa hai.. aaj 21st hai --- 1 mnth means 21st Sept.

itne din me main kitne script likh saktaa hun?? cutting all phone calls and every chit chat with people... Just writing script and episodes work coming from Viru sir - that is enough to sustain me for next 1 month.

60k means = 60 hours.

to har din agar script likhani hai... to mujhe 60 scene to likhane honge... aur usake liye story ideas aur concept bhi dhundhane honge... yaa phir ussi me wo concept bhi dhundhana hai???

es tarah se kamase kam 15 script to ho hi jaayenge.

Likhate jaao aur usako Nishant ko bhejate jaao - phir mil kar 2nd draft par kaam karte hai.

Tat can be done actually --- challenge hai lag raha hai ki nahi ho paayega --- tabhi to maja hai ki karte hai.



 

 

  

job of freelancer

in this job..

as it has started...

but as the golden rule goes --- make more customers jisame maine thoda gandaa perforem kiyaa hai... to ab usako thoda sahi kiyaa jaaye.

kuch achi kahaniyaa likhkar FW ko bheji jaaye jisase wahaan kaa darwaja phir se khul jaaye.

Viru Sir ke yahaan Adalat sahi chal raha hai... aur koi naya show aayega to wo bhi milega.

baaki aur bhi client dhundho aur unako writing karke do.

Never outshine your master!!

Tv likhate likhate aur kuch direct karate karte - film kaa raasta bhi nikalega --- aur jeevan me 4-5 blockbuster films ban gayi to kaam ho gaya.

2-4 serials se to jyada hi paas ho jaate hai ek time ke baad... to wahaan bhi kaam ho gaya.

agar tv production me kuch serial produce kar diye to phir wahaan bhi chapa huaa hai.

essi beech kuch novels publish karaya jaa saktaa hai... aur e-commerce ek abhi start kiya hai... which is huge. warna aage aur bhi mauke aayenge.

So cheers & enjoy working!!!

           

morning blues

it has again started... raat ko gaanja piya to sahi lag raha tha. 
subah uthaa to phir samajh me nahi aa raha hai ki kyaa kar paaunga aur kyaa karna hai.

par ek baat to jaahir hai ki kuch kaam to karna hai jisase paise aayenge. 

moviedlx business me phir se hope jaaga hai.. jabase film industry ke kuch logo ne interest dikhaya hai. 

kyunki wo log film kaa business samajhate hai. 

ab ek baat ye lag raha hai ki kitne din me esako execute kar paaunga aur kis tarah kaa human resource and time jaayega. 

vague idea to hai... lekin usake expert apne team me nahi hai.. lekin wo hopefully hamlog samay ke saath acquire kar lenge. 

yahaan market study and research kaa bhi thoda dekhnaa padega... ki es product ki jaroorat hai ki nahi market ko... aur doosare players agar aa jaayenge to ham unase kaise compete karenge. 

baaki bacha writing... to yahaan par abhi learning continued hai... thodi marketing badhani padegi aur usake liye bhi raaste dekhe jaaye.. hopefully raaste nikal hi jaayenge. 

December tak agar main bahut jyada hopeful kissi ek cheej par ho jaaunga to dikkat hogi... isiliye es point par ek baat bahut hi important hai ki mujhe bas apne kaam par dhyaan dena hoga. Aur yakin rakhnaa hai ki agar main doosaro ko revenue generate karaane me safal raha to mere liye bhi revenue ban hi jaayega. 

Amen!!!

 

Tuesday, August 20, 2013

jab maine paise kamata tha

jab main 1 lakh ke aaspaas aaj se 1 saal pahale kamata tha... to pareshan rahta tha ki meri salary 3 lakh kaise ho jaayegi...

us waqt ye nahi sochtaa tha ki utni mehnat aur skill set bhi chahiye hoga..

saayad ye yakin tha ki swimming pool me kood kar aadmi tairnaa seekh jata hai.

lekin us waqt main hamesha bijli kaa bill... rent... tax... restaurant aur ghoomane jaane kaa kharach... aur aise tamaam kharchon se pareshan raha kartaa tha.

wo kharche thode kam ho gaye kyunki ab paise nahi hai aur maheene ki kamaai ghat kar 40k ho gayi hai.

ab to jaroorato aur kamaai ke beech kaa faasla aur bhi badh gaya hai... jabki samay ke saath kharch bhi badh gaye hai... skill saayad badha nahi... haan ab lekin kamar kasnaa hoga... lekin job kahaan milega.

hey bhagwaan... ye sala ameer aur successful logo ko dekh kar laga ki main bhi ho jaaunga... lekin sochana to chahiye tha ki bhaai aisa hoga kaise... aur wo successful dikh rahe hai to usame kaaphi time laga hai.

khair ab to main daily soap kaa super star ban jaaun yaa phir har maheene ek novel likhun aur wo chap bhi jaaye --- aur hit ho jaaye tabhi kamaal ho saktaa hai.

par aisa kyaa likhunga ki wo chapega?? aur bikega.




khud se aap kabhi nahi bhaag sakte

hamesha mujhe interview se dar lagtaa tha aur lagta tha ki main interview nahi nikaal paaunga... 

IIT bhi nikal gaya aur wahaan interview nahi to koi samasyaa nahi hui... lekin us interview ke dar ke peeche darr tha public speaking and rejection from people. 

lekin manie jo kaam karne kaa faislaa liya wo connection par hi depend kartaa hai... 

waise to sarkaari job ke siwaa hamesha connection and public interaction bahut jaroori hai... film industry me maine kabhi contact banaaye hi nahi... sirf apne ghosale me dubakaa raha.... aur phir ek job lagaa jahaan bahut mehnat karke settle huaa -- aur wahaan paise bhi ache banane lage the to keedha kaata ki bahut paise kamaane hai... lekin ye bhool gaya tha ki bahut paise kamaane ke liye bahut logo se milnaa aur bahut jyada mehnat karne ki jaroorat hai. 

Bahut mehnat to saayad mani phir bhi kaheen ghosale me baith kar kar lun.,.. lekin hamesha se ek aur problem khud me dikhati hai ki bina guidance ke main kuch kar nahi paata hun... aur dhang kaa guidance paakar main bahut acha kar leta hun... even people start saying extraordinary. 

aur wo FW kaa settled job jo ache paise de raha tha wo aise laat maar diya jaise usaki koi aukaat nahi thi.. saayad unlogo par gussa thaa yaa khud par ---- usase koi farak nahi padtaa kyunki fatti meri padi hai. 

ek business start kiyaa aur usame bhi ek dost kaa plan tha... jo ki naakaam hi gaya... ek aur bharosha tha ki kuch dost production house kholenge jisame hopefully main hamesha likhta rahunga.. lekin wo bhi chale gaye. 

company ko kamase kam start to kar diya... lekin esase paise banenge wo raasta abhi dikh nahi raha hai... aur profitable venture hai ki nahi wo samajh nahi aa raha hai. 

aur es company ko chalaane ke liye kitni mehnat karni hogi aur kyaa kyaa seekhanaa hoga wo bhi samajh nahi aa raha hai... actually guidance ki sakht jaroorat hai. 

   

mere filmon kaa safar -- Part 2

to film kaa safar continue karta hun...

pahli baar jo film writing kaa kaam mila --- usake thoda aur detail me bataaunga.

mere filmi safar ka ek bahut hi purana aur kahun to sabase pahlaa mitra Rishi Raj... dono ki patati bahut hai --- lekin wo ek number kaa khayaali pulaav pakaa kar khaane wala hai magar usake hisaab se kaam nahi kartaa hai... sapne usake aakash se bhi unche hai aur mehnat saayad chinti se bhi choti... magar aadmi hai dilchasp aur isiliiye usake saath mera man lagtaa hai... mujhe hamesha se hi aise log pasand rahe jo saayad kuch unreal me believe karte hai... espar jyada ab vistaar me nahi jaaunga kyunki ye alag topic ho jaayega -- Rishi bhai sorry tere liye alag se samay dekar likhnaa padega.

To Rishi bhai ki contact bahut saare hai aur unhe ek had tak bade contact bhi kah sakte hai... kyunki wo sab paise kama rahe the aur theek thaak post par the... enhi contact me se kissi ne Rishi ko ek writer dhundhane ke liye kahaa thaa aur usane mera naam recommend kar diya.

I don't know ki usane mera naam kyun recommend kiya --- ye baat maine usase poochi bhi thi -- kyunki usake jaan pahchaan me main khud aise logo ko jaantaa tha jo TV aur films ke liye likh rahe the... mani to sirf dubbing kaa kaam kartaa tha aur dosto ke saath film ke idea discuss kiyaa kartaa tha. --- jo sirf 2 line ke idea se aage nahi jaate the.

waise ab yaad nahi ki Rishi ne koi jawaab diya tha yaa nahi.... lekin main Rishi ke saath us aadmi ke ghar pahunch gaya... unakaa naam tha "Bobby Bhosale" Balaji me writing kaa kaam kar chuke the aur kaaphi famous bhi the... mujhe laga ki chalo bhi ab mujhe writing samajh aa jaayegi... main unake ghar pahuncha aur unaka pahle to ghar dekh kar main surprise huaa --- kyunki yari road me 2 BHK akele ke liye afford kar pana badi baat thi -- -atleast meri najar me..

Bobby Bhosal kaa pahnawa bhi kaaphi dilchasp thaa... ek nightie type kaa --- I dont remember ki wo nightie hi thi yaa phir unhone kuch special banwaya tha. aur baatein bahut naptol kar karte the... khair baat start hui aur unhone mera halkaa saaa parichay poocha aur main behad taiyaar thaa ki es chote se interview ke baad mujhe yahaan se nikaal diyaa jaayega... he will catch ki main naa to creative aadmi hun aur writer to kaheen se bhi nahi hun.

khair baat start hui aur thodi der baad Ganja yaa Charas aisa kuch ciggerete laya gayaa... Jo Rishi bhi unake saath maje me join kar liya... mujhe laga ki bhaai ye to bilkul hi sahi jagah pahunch gaya hun kyunki mere college ke dinnno se hi jo bade bade singer the yaa phir kalaakaar un sabake baare me famous hai ki wo ganjeri aur drugs se bhara huaa jeevan jeete the... to ye baat to tai ho gayi ki ye aadmi kalaakar hai aur esaki sangatee me kissi tarah aa jaao... lekin jitnaa hi unaki sangati me aane ke liye main bechain ho raha tha utnaa hi es baat se bhi ki mujhe nikaal diyaa jaayega.... lekin main ek baat me confident tha ki main bhi agar ek cig maar lun phir to main apne inhibition se nikal kar pair bhi pakad lunga ki apni sangati me rakh lo.

lekin darr lag raha tha ki agar cigg maangaa to kaheen bura naa lag jaaye... Maine Rishi se ishaare me ek kash ke liye pooch to usane saayad unase pooche bina yaa pooch kar -- wo yaad nahi lekin cig meri taraf badha diya. maine jaldi jaldi 2-3 kash kheenche ki jaldi asar ho jaaye.

aur phir thodi der me cig ne asar karnaa start kar diya... ab main bhi kaaphi nashe me tha aur usake baad unake saath film par baat cheet start hui... aur maine unako impress karne ke liye yaa phri mujhe saayaad wo french aur hollywood ki filmein sahi me dimaag me ghushi hui thi --- unake byakhyaan ke baad Bobby saahab convince ho gaye ki main unaki kahani likhane ke liye sahi aadmi hun.

unhone phir mujhe apni kahani sunaai --- jisakaa mujhe sirf screenplay karnaa tha... lekin unaki kahani me 2-3 scenes se the... aur phir baaki sab unake hisaab se kaaphi obvious tha.. mujhe samajh me nahi aa raha tha ki esame to kahani hi nahi hai aur ye kah rahe hai ki esako poora screenplay karnaa hai.

es baat par maine unase thodi baat waat ki aur unhone mujhe samjhaya ki yahi sochanaa to mera kaam hai.... maine socha ki chalo kissi ne mujhe jimmedari di hai to esako karnaa to padega.... usake baad ham din raat sharaab peete, wo nashe wala cig peete -- nashe ki koi kami nahi thi jisake kaaran main thoda khush thaa lekin kuch baatein pareshan kar rahi thi.

kahani kahin badh nahi rahi thi --- aur main har din ek kissi film kaa reference dhundhataa aur unako sunata ki ye kaisa rahega and he liked... lekin mani confuse rahtaa ki main holywood waale film ki kahani ko actually unaki kahani me kaise fit karunga... baat kuch samajh nahi aati aur main unake saath discuss karne ki koshish kartaa jo kabhi poora nahi hota tha... Rishi es story development me kaaphi kam hissedari nibha raha tha.

Dusari chintaa ki es writing project ke liye koi paise nahi mil rahe the.. teesara chintaa ki mujhase pahale bhi kuch writer yahaan es kahani par haath aajmaa chuke the. ab mujhe samasyaa gambheer dikhane lagi ki aakhir meraa es writing project ke saath kitne lambe samay tak ristaa chalane wala hai. yahaan writing jis stage me thi usssi stage me distribution ke liye log aane lage... ajeebo gareeb log... kuch production me help karne waale... actor & actress.. aur musician.. mujhase as a writer music par aur kaunsi casting sahi rahegi usake baare me poocha jaata aur main koi bhi raai dene me asafal ho jata.

Mujhe ab aisa lagane laga ki film to ban jaayegi lekin main es film me bahut din tak nahi tik paaunga.... par taajub ki ek aur baat hui jab mujhe ye pata chala ki us film me lead role koi aur nahi balki Bobby Bhosale hi nibhaane waale hai.

ye surprise bhi thaa aur esase ek aur baat tai ho gayi ki ye film nahi banegi aur banegi bhi to flop hi hogi.... Bobby pahale se hi star nakhade uthaa rahe the aur chuki wo producer bhi the to unake saamane koi boltaa nahi tha... aur jo boltaa tha usako wo kissi tarah chup kara diyaa karte the.

aakhirkaar paise ki kami hone lagi aur phir ek din Bobby wahaan se gaayab ho gaye... kissi ko pata nahi thaa ki wo achanak kahaan gaayab ho gaye the... baaki jo huaa tha wo sab personal hai aur usakaa mere filmy safar se koi connection nahi hai.
ek jo interesting kaam huaa wo ye thaa ki Bobby ke yahaan aaye hue ek aadmi ne ek film likhane kaa kaam diya aur usake liye 10 lakh ki rakam bhi tai hui... aisa pahali baar huaa tha aur itni badi rakam dene kaa koi waada kar raha tha ye sunkar dil aur dimaag khush ho gaya.

bas maine kasan khaai ki es kaam ko seriously kiya jaayega --- aur Rishi Raj ne bhi haami bhar di.

Phir hame kahani kaa idea sunaya gaya... sunane me dilchasp laga par girl centric tha and melodramatic to samajh me nahi aa raha tha ki esko main likh paaunga bhi yaa nahi.

Usake baad kahani likhane ki jung start hui aur mujhe Rishi par bharosha thaa aur usako mujhpar lekin kaam dono me se koi bhi nahi kartaa tha... mujhe to ye bahana tha ki maine aaj tak kahani nahi likhi to mujhe idea hi nahi hai... wo koi bahana boltaa nahi tha aur hamesha hi likhane baith jata tha jo mujhe bilkul hi pasand nahi aata tha.

Har kuch dinno par hame kahani sunane jana hota aur ham darate hue aakhiri raat ko likhane baithate --- jaise exam ke pichale raat ko padhane ke liye baithate the... aur phir thodi der baat karte aur so jaate... subah uth kar kuch idhar udhar likhate aur darte hue office pahunchate.

Wahaan writers ke naam par hamlogo ko kaaphi ijjat milti thi... aur kahaani sunane ke liye wo log hamaari taraf utsuk najaro se dekhate... phir hamlog jo tooti footi likhe hote wo suna dete... uspar unlogo ke comment aate aur tarah tarah ke suggestions.. bas un suggestions ko ham note karnaa start kar dete aur phir hame aglaa task miltaa ki un suggestions ko hame incorporate karnaa hai... ham kuch der chain ki saans lete ki chalo aakhirkaar aaj kaa kaam ho gaya... ab agale baar ek dam man lagaa kar likhaa jaayega.

lekin wahaan se nikalane ke baad wahi hota jo pichale baar ho chukaa tha... kai baar meetings hui aur hame paise bhi mile... aur un paison ke saath thodi guilt feeling bhi aayi ki hamane kuch kaam to kiyaa nahi hai faaltu ke paise udaa rahe hai... Rishi lekin adamant tha ki sab sahi chal rahaa hai yaa phir wo hamesha se aisa hi confident rahtaa tha.

Maine socha ki ye ek acha maukaa hai film banaane kaa esako haath se jaane nahi dena chahiye... lekin mujhe writing aati nahi thi aur maine socha ki kissi ache writer ko pakad letaa hun aur unase writing seekh lunga taaki ye project complete kar sakun aur maine Virendra Shahney ke yahaan kaam pakad liya.... unahone mera test liya aur unako meri writing pasand aayi... mera himmat thoda badha lekin samajh me nahi aaya ki mujhe to writing aati hi nahi hai aur ye kah rahe hai ki meri writing achi hai.

Khair main unake yahaan writing seekhane lagaa, actually unhone mujhe ek aur film ki kahani ke idea par likhane kaa kaam diyaa jisako maine likhnaa start kiyaa... wahaan maine kuch trick seekhe aur finally wo tricks bhi aundhe muh gir gaye aur kahani kaheen bhi aage nahi badh rahi thi... dono kahaniyaa lachar sthiti me thi aur main har din kahani ko behtar aur behtar likhane ki koshish kartaa aur naakaam ho jata.

Finally, ladki waale film ke main producer India aaye... and first time maine ek aise aadmi ke baare me suna jo itnaa ameer tha... -- nahi main pahle bhi sun chuka tha lekin dekha aur mila pahli baar tha --- jo India me naa rahte hue bhi hotel me apne kamare book kiyaa rahtaa hai.

unhone kahani suni jo unhe bilkul pasand nahi aayi.. even wo setup and everything nonsense lagaa aur unake dimaag me film ko lekar apne pictures the. --- jo door door tak es film se match nahi kar rahe the... maine jo kai hollywood filmo ke reference jo es kahani ko likhate samay liye the wo kahane ke mujhe mauke hi nahi mile... aur mujhe lag raha tha ki koi faayada nahi hoga.

finally usake baad se wo project band saa hi ho gaya... maine bhi jyada jor nahi diyaa kyunki dar tha ki kaheen wo paise waapas naa maang le aur doosari taraf kahani likhane se main waise hi darane lagaa tha.

ab main Virendra Sahaney ke yahaan full time job kar raha tha... aur wahaan us film kaa to kuch ho nahi raha tha.... siwaaye ki maine wo saare kaam kar daale jo maine script writing waale do yourself waale kitaab me padhe the... tabhi wahaan ek serial ke writing kaa kaam ek ladki kiyaa karti thi.

agale janam mohe bitiya hi kijo.... wo setup UP kaa tha to mujhe samajh aa raha tha... aur wo ladki jo likh rahi thi wo kaheen se bhi satisfactory standard kaa nahi tha... to mujhe ek din haath aajmaane ko kahaa gaya.... phir maine haath aajmaaya aur jo likha huaa tha wo acha to nahi tha... haan bas action par jyada detail tha jabki wo sajaawat aur aaspaas ke deewaro aur characters ne kya pahan rakha hai usako bataane me kaaphi badh chadh kar likhi thi.

Phir ek din us ladki ko nikaal diyaa gaya... rochana uskaa naam tha... aur main wo serial likhane laga... jaise jaise main usako likhane laga aur chuki mere paas sirf wahi ek kaam tha to main uspar din raat sochataa rahtaa tha... galtiyaa bhi bahut hoti thi... kai scenes aise hi likh deta tha... wahaan par Virendra shahaney kko phir sahi karte hue dekha to acha laga.. ki kaise kahani me twist aur bolne me andaaj laya jata hai.

pata nahi main kitnaa samajh paaya aur likhte samay kitnaa usako follow kar paaya lekin episode unlogo ko theek lagane lage... siwaaye channel ke saayad... aur phir ek din wo serial haath se nikal gaya.. virendra shahaney ke aur mere bhi. mujhe lagtaa tha ki main usako acha likh saktaa tha... lekin kahani aisa to hai nahi ki kaheeen likhi hoti hai.. wo to har din kaam karte karte banti jaati hai.

usake baad maine ek horror serial Shree likhnaa start kiyaa.... jisame again mujhe samajh nahi aa raha tha ki main kyaa likhun... aur wo bhi ek episode ke baad haath se chala gaya... usake baad Bidaai karke serial aaya... maine ek episode likha jo channel ko bahut hi kharaab lagaa... phir mujhase wo bhi cheen liyaa gaya... us din samajh me nahi aaya ki kyaa huaa hai.

phir main kuch maheeno tak story likhanaa seekhane lagaa.... short stories padhtaa... novels padhtaa aur maheene ke 10k milte usame khush rahtaa... naa koi kaam kaa pressure tha aur bakar karne ko bhi milta.

mujhe har din ek short story agle 10 din me deliver karne kaa kaam mila... aur maine likhnaa start kar diyaa... 10 din me wo 10 stories likh bhi daala aur maja bhi aaya lekin usako novel me chapwaane kaa jo plan tha wo aage execute nahi ho paya... ek to main kabhi apni kahaniyo ko edit nahi kar pata tha.. jaisa likhtaa sochta ki waisi hi achi hai.

Essi beech mujhe dar lagane laga kyunki mere saath ke writer 50 - 80k yaa usase bhi jyada kamaa rahe the.. aur main unase bahut kam kamaa raha tha.... aisa kyun ho rahaa tha ye mujhe samajh nahi aaya.... ek to mujhe hamesha lagtaa ki meri writing weak hai to main kaheen try bhi nahi kartaa tha.... hamesha Virendra shahaney se request kartaa ki wo ek show le le jisake kaaran main unake guidance me likhtaa rahunga.

lekin wo bhi koi show nahi le rahe the ki show likh kar kyaa karoge... aise hi wo chalta raha... maheena aur usake baad maheena beetata raha lekin naa main kaam dhundhane gayaa aur naa wo koi kaam lekar aaye.

phir ek din laaptaganj ke creative director kaa number and reference mil gaya... aur wahaan jaakar kaam start kiya to wahaan bhi kahani paas nahi hui.

ab to mere haath pair phoolane lage the... ki aakhir aise kaise chalega... unhi dino me meri shadi tai ho gayi...

ab to jaise mujhe chakkar aane start ho gaye... aakhir ye 10k me kaise kaam chalega... shaadi ki baat aage badhati gayi aur meri pareshani bhi... samajh me hi nahi aa raha tha ki mera to koi contact bhi nahi hai... aakhir es tarah se kaise kaam chalega???

to be continued...