Sunday, August 25, 2013

main baar baar ruk raha hun

mere rukane se... jaldbaaji naa dikhane se kya hoga.

Business plan ban jaayega.

nahi frustration badh bhi saktaa hai

apnaa kaam karte raho

job ki talaash

baithne aur es tarah likh kar writing sahi ho sakti hai... lekin paise nahi aayenge.

so paise kamaane ke liye live project dhundhana aur unako complete karnaa start karo.

chalo abhi ek story padhtaa hun aur dekhataa hun ki writer ne kitnaa kamaal kiyaa hai.

waise baat wahi aa jaati hai ki kaise sunaaye ki unako acha lage.

warna wo kahenge ki maja nahi aaya... aur esame ye nahi hai wo nahi hai

waise aap kahani me aisa kuch to eye catching likho ki wo nikalti rahe

thode bahut correction ho to wo aap fatafat kar dijiye

lekin wo karne me bhi abhi tak to time jata tha... upar se main ussi waqt phir se kahani sochne lagtaa tha

ek baar agar kahani likhi gayi hai... to wo kahani hai

usako script me change kiya gaya behtar narrative karne ke liye

aur phir dialogue --- par yahaan par kyaa behtar ho raha hai

mere case me to ye tha -- ki pahale kuch sell kiya.. us waqt uake baare me jjyada idea nahi tha

wo sell ho gaya .. to phir usake aage thoda aur likha

screenplay aur dialogue hone tak wo change hote rahate the - aur mujhe wo sahi bhi lagtaa tha --- even abhi bhi lagtaa hai ki usake bina maine kaise likh paaunga

yahi nahi pata hai ki kahani ko fleshout karnaa kyaa hota hai

aur usame interesting kyaa dalaa jaaye aur kaise dala jaaye

lekin main khud bhi to bahut saari cheejein dekh kar entertain hota hun

to phir wo entertainment hi to likhnaa hai... ki kyaa entertain kartaa hai

jo entertain kartaa hai wo likho --- haan he was asking ki tum badhiyaa kyaa likh lete ho

ye bhi abhi tak pata nahi hai ki main kyaa behtar likh paata hun

abhi to idhar udhar hi tahal raha hun

pata hi nahi hai ki kaunsaa raste jana hai

abhi to itna soch kar lag raha hai ki sahi hun.

distribution aur production ki taraf bhi dekh liya.... aur thoda technology ke liye bhi

es tarah se exposure thoda aur badh gaya --- diversification

haan lekin ye diversification thoda slow karna chahiye tha ---- waise saayad slow me main bahut sara data kabhi jama nahi kar pata

aur ho saktaa hai ki main esako kabhi pursue bhi nahi kar pata.

itna maraane ke baad to kuch huaa hai.. thoda bahut samajh aa raha hai

even kissi cheej ko nahi karnaa hai... that is also a big decision

main hamesha Rana se kahtaa hun ki 6 ghante roj kaam karne ko mile... aur wo 6 ghante bhi sirf 5 din ke liye... aur esake liye mujhe 80k mil jaaye to mast hai... main bahut kuch kar saktaa hun.

lekin ye kaam to abhi bhi ho saktaa hai.. writing ke saath.

jeebhar kar dekho... daba kar writing karo... roj 6 ghante... haan lekin usame kuch productive nahi kar paa raha hun.

to ab yahaan par ek cheej ho sakti hai... ki main kahaniyaa pooori hi nahi kar paa raha hun... kamsekam 40k wala jo hai... usase to kaam ban sakataa hai..

usako serious karke 1 aur kuch kaam dhundh lun... 1 kahani bhi mil gayi yaa phir Jinni aur Juju jaisa show bhi kuch din likhane ko milega... to chalega.... esame se koi chootega to koi to kaam banega... aao jara story dekha jaaye.... yaar ek kaam kar naa serial dekho... kamasekam 2 serial pakado... aur unaki kahani likhnaa start karo.

even FIR kaa bhi pakad sakte ho... usake producer ko kahani likhani hai ye kahkar bhejo.

daily soap bhi ek pakad lo... Savdhan ko bas samajhne ke liye har hafte dekho... kya acha tha kahani me... kyaa bura tha analyze karo.... aur ek kaam dhundhane ke firaak me hamesha lage raho... pahale to en sab office ke chakkar maar lo... taaki unake yahaan se kaam nikalta rahe.

even Adalat ki kahani bhi khud se likh kar daaloge to 30 - 40 ke aaspaas banega... aur fear files me bhi kuch raasta ban saktaa hai... kaam to karke dena hi hoga... warna phir kaam kaise chalega.

ab ye koi kaise sikha saktaa hai ki kyaa likh kar de ki paas ho.

wo to khud hi samajhnaa padega ki kyaa likh kar dun....

No comments:

Post a Comment