Saturday, August 24, 2013

why should we hide

when I was a kid... I always thought ki mujhe..

wo scene sahi laga tha ki ek alunda thoda akad kar aur style me chal raha hai.. aur Akshay kumar usako tapli maar kar nikal leta hai... aisa kuch fun.

Sala Akshay kumar bhi pahale model... paisa... usake baad acting.... wahan bhi paisa... lekin wo dono jagah to usane khud hi mehnat kiyaa na... maine to nahi kiya... yaa usake gharwaalo ne ... yaa usake dosto ne... wo to sirf usane hi kiyaa hoga.

to main jo karunga wo meri pehchaan hoga... usase baaki kiskaa kyaa hoga.. itna complex aur definitive kuch hota hai kya... ab jaise log mujhe kahte hai ki main IIT me gaya to mere andar ek baat hogi... wo kis ek baat ki baat karte hai,

kuch kahte hai ki IITian mehnat kar sakte hai. kuch kahte hai ki unake paas dimaag hota hai... aisi aisi bahut si baatein hai... mujhe legends lagti hai... lekin aapne usako legend maan liyaa hai... aur legend ke naam par usako real bhi nahi kahte hai... ye to khud ke liye ek doubt hi hai... either you accept it... lekin phir usako arrogance kahaa jaayega.

Arrogance, Confidence, aur bhi kuch word hote honge... ab en sabako to main pata nahi kitne din me seekh paaunga... ek to lagtaa hai ki jab jo doubt aaya usako ussi samay nipta do... doosara aata hai ki... dekho company nahi chala paaye wo meri kaaphi hadd tak jimmedari hai... even mujhe aisa lag bhi raha tha to main gaanja pee kar khush tha... abhi bhi wahi haal hai.

baal tootane se bhi kitna depression hota hai... aur ye hamesha se hota raha hai... jab chota tha tab se lekar aaj tak takle logo ko dekh kar jo dehsat hoti hai wah kissi aur cheej ko dekhkar nahi hoti hai.

Indian Fears prominent in society.. will also be a good idea for a web series... that would give a greater foothold... a new concept and executed in a minimal manner.. with quite low budget... shoe string.. then it would be great... waise life me peeche mudkar dekhane par unhi logo ke dots make sense karte honge... jis baat ko Steve job yaa phir saayad ameer... yaa phir jindagi ko alag tareeke se dekhane waale ya phir har koi.. lekin phir log suicide kyun karte hai... wo ussi waqt baaki saari philosophy bhool jaate hai..

par unako darr kis baat kaa hota hai... ghar se nikaal diye jaane ki... duniya ke saamane majaak ud jaane ki... kabhi naa uth paane ki.... I think last wala option kaam kar raha hai.

meri kabhi aisi haalat hogi... pata nahi yaar... kyunki jindagi me maine ek baat to dekh hai.. ki samay ke saath main apna daayara chota karta gaya... wo chota hota bhi gaya aur main usako hone diya... kyunki main ek basic baat es samaaj ki karnaa chah raha tha bachpan se hi... lekin wo hone naa diya.. khair aaj tak kiyaa hai to aage bhi kar lunga... lekin ab thoda samajh kar khelana padega... koi bada risk nahi lene kaa.. .ye 6 months wala paath sahi hai... hataao jaane do warna thoda aur soch raha hun to conspiracy theory lag rahi hai.

har ek baat conspiracy thoery hai.. india me bol rahe the ki superstition hataao... lekin wo superstition unhone apne upar se hataa kar samaaj par daal diya... logo par daal diya... phir ek baat sunane ko mili ki system par bharosha karo... aakhir ye sab kaise ho raha hai.

saayad Ashutosh ne apna mobile fenk kar tod diyaa hai. aisa naa ho to acha hai lekin aisa huaa hai to phir bahut bura hai... mujhe bhi apne job ki chinta ho rahi hai... aur es company idea par aur work karne ki jaroorat hai... wo bol raha tha ki idea ko karne wala hi visionary hota hai.

ye visionary word bahut suna maine... log kahte hai ki videshi bahut jyada kaam kaaji aadmi nahi hote hai... lekin unaki baatein to authority type lagati hai... jaise wo har baat perfect kah rahe hai.

wahi par aise langooro ke video bhi hai jinako dekh kar bata pana muskil hai ki enake paas dimaag bhi hoga... hamlogo ne pichale 1 saal se jyada me jo kiyaa hai... tat was pretty bad.

abhi main itni sari baatein kah raha tha lekin tab sahi lag raha tha... wahi ye nasha hi mujhe pareshan kar raha hai... par main kyaa writing karta rahunga to kuch likhane lagunga... jo aajtak show banaane ke tareeke dekhe hai usase kuch naa kkuch to ban jaayega... phir sabase number lo aur jaakar suna aao... ab ye kahnaa muskil hai ki aapkaa kaam kahaan banega... yaa phir daily ki likhaai kab milegi aur main likh paaunga.

ashutosh ke paas dekhane ko kahaa jaaye to koi kaam nahi hai.. usako kissi kaam kaa experience bhi nahi hai.. aur usake saath ke log kareeb 7 saal se paisa kamaa rahe hai.. kamase kam apne industry me ghoom rahe hai.

esako bahut der se ye baat pata nahi kaise chamak gayi ki hero banana hai... aur main sala esako sambhaalane ke chakkar me fans gaya... aaj ke baad bina maange kabhi salaah nahi dene kaa... sochane kaa bhi nahi.

es tarah ki soch mujhe aur pareshan karti hai... kyunki wahi meri samasya hai... aur jab mujhase behatr launde... jinako main behtar kahtaa hun... waise to main almost har us aadmi ko behtar kahtaa hun jisase bhi baat karne lagataa hun... ab main kahunga ki ye bhi galat hai.

bhai saahab main to ek gol chakkar ho chuka hun... jaldi se job lage bhai... kuch kaam start kiyaa jaaye... waise wahaan bhi pareshani hogi.

aisa lag raha hai ki kaam hi nahi ho paayega... lekin aur kyaa tareeka hai??    

           

No comments:

Post a Comment