hamesha mujhe interview se dar lagtaa tha aur lagta tha ki main interview nahi nikaal paaunga...
IIT bhi nikal gaya aur wahaan interview nahi to koi samasyaa nahi hui... lekin us interview ke dar ke peeche darr tha public speaking and rejection from people.
lekin manie jo kaam karne kaa faislaa liya wo connection par hi depend kartaa hai...
waise to sarkaari job ke siwaa hamesha connection and public interaction bahut jaroori hai... film industry me maine kabhi contact banaaye hi nahi... sirf apne ghosale me dubakaa raha.... aur phir ek job lagaa jahaan bahut mehnat karke settle huaa -- aur wahaan paise bhi ache banane lage the to keedha kaata ki bahut paise kamaane hai... lekin ye bhool gaya tha ki bahut paise kamaane ke liye bahut logo se milnaa aur bahut jyada mehnat karne ki jaroorat hai.
Bahut mehnat to saayad mani phir bhi kaheen ghosale me baith kar kar lun.,.. lekin hamesha se ek aur problem khud me dikhati hai ki bina guidance ke main kuch kar nahi paata hun... aur dhang kaa guidance paakar main bahut acha kar leta hun... even people start saying extraordinary.
aur wo FW kaa settled job jo ache paise de raha tha wo aise laat maar diya jaise usaki koi aukaat nahi thi.. saayad unlogo par gussa thaa yaa khud par ---- usase koi farak nahi padtaa kyunki fatti meri padi hai.
ek business start kiyaa aur usame bhi ek dost kaa plan tha... jo ki naakaam hi gaya... ek aur bharosha tha ki kuch dost production house kholenge jisame hopefully main hamesha likhta rahunga.. lekin wo bhi chale gaye.
company ko kamase kam start to kar diya... lekin esase paise banenge wo raasta abhi dikh nahi raha hai... aur profitable venture hai ki nahi wo samajh nahi aa raha hai.
aur es company ko chalaane ke liye kitni mehnat karni hogi aur kyaa kyaa seekhanaa hoga wo bhi samajh nahi aa raha hai... actually guidance ki sakht jaroorat hai.
No comments:
Post a Comment