aaj kal ye sochane me main hamesha pareshan rahtaa hun ki manie aajtak bahut se skill set ko nahi seekha... ki esako seekh kar kyaa karunga....
waise kai dosto ne IIT me salaah di thi ki kuch skill to seekh lo... photography... editing machine chalana... lekin hamne socha tha ki writing hi seekhenge... aur direction me seekhane ko to kuch hai hi nahi.
IIT me padhai kuch ki nahi ... aur software bhi seekha nahi.
To ab aaj ke samay me skill set jisase main paisa kamaa sakun usake liye bas writing hai... aur wo bhi sahi se ho nahi paa raha hai.
aisi kahaniyaa likhun ki padhane waalo ko sahi lage... kuch novel chap jaaye... jisake liye bhi saayad paise lagenge... aur pata nahi aisa novel likh paaun jo publisher bina paise liye chaape wo likh paaunga bhi yaa nahi... to haalat badi gambhir dikhaayi de rahi hai..
aakhir paise kamaaye jaaye to kaise??
hey bhagwaan koi raah dikhaa.... baaki mehnat to main kar hi dunga.... film banaana bhi tedhi kheer hai... aur agar bana bhi liyaa to usako bechana to aur bhi tedhi kheer hai... lagtaa hai kaaphi lambaa pain hone wala hai es baar.

No comments:
Post a Comment