Sunday, August 25, 2013

100 days rule

for a client always over deliver for next 100 days

and that client will be for you always

haan kuch mishap hote rahate hai

aur wo maaph bhi ho jate hai agar thoda jor lagaya jaaye

lekin khud bhi main sochata hun ki aakhir ek hi jagah baar baar kya gir kar jana

aur bhi jagah to try maarna chahiye

wo ho jaayega to try maarunga

lekin har baar wahi waali baat hai

yahan par ye to fix nahi hai ki kitna likhnaa hai

ek aadmi to limited hi likh sakta hai

aur apne ghar launde baitha kar serial writing kaa kar pana.

ye bahut kam log hi saayad kar paate hai

par usame acha paisa hai

ye sab lekin references liye hue hai

tumhara apna bhi to koi sapnaa hoga

par ye sab startup kholane waali baat hai

kyunki wo log business kar rahe hai

to ek startup kholnaa is always different thing

aur usame paise banaana --- these things are really crucifying

ek to wo kaam mujhe khud hi lagta hai ki nahi aata hai

ab usake dam par main kaam lekar aa jaaun lekin wo kaam complete bhi to karne honge

kyunki 100 days waali bat to poori karni padegi

main khud se novel chaap lun... yaa koi script likh liya

aur wo ek din bik jaye --- to kabhi ka likha huaa kaam kissi aur din kaam aa gaya

jaise maine abhi tak kuch films aur serial ke concept soche hai -- unako jot down karane me kuch din jaayenege

atleast wo jitnaa hai --- usase aage unako badhaya jaaye

abhi ek serial writing me haath jama liya hai --- aur kuch client bhi --- to thoda bahut kaam mil raha hai aur ghumunga to kuch jaan pahchaan ke log bhi mil jaayenge

uname se koi kuch karne kaa sochega... yaa unake saath kuch plan kiyaa jayega... all that will be again startup

even writing a novel is startup

btu startup kaa matlab hi hota hai.. ki start -- up... eskaa kyaa matlab ho saktaa hai??

ek company jo abhi start hui hai... ek company jo start hone ko hai... kitne din hue hai start hue, kyaa usase startup define hoga?? lekin wo abhi struggling phase me hai ye baat jo jaroor hogi.. warna wo established company ho jaayegi.

ab jaise chintu wo electric man waali kahani nahi likh paa raha hai... to eskaa matlab ye nahi hai ki main bhi nahi likh paaunga.... ek baat dekha hai ki main jab calm and controlled hota hun then I see options... even put my brain in work.

lekin most of time main bina kiye hi haar jata hun... tat's a bad thing.

I must start doing... find problem... look for solutions... work around it... move ahead and finally complete the task.

that can be one way.
socha nahi tha ki kabhi IIT me jaane ke baad mujhe paise ki dikkat hogi... aur personality aur acceptance waali problem hogi

wo main sochata hun ki mere andar problem hai... waise aaj ke baad naukari aur business...
waise kissi naa kissi tarah ke samaaj se judnaa bahut jaroori hai... jaise abhi ke liye writer samaaj se... kamase kam problems pata chali rahe aur usako solve karne me kyaa yogdaan diya jaa saktaa hai.

thodi bahut marketing bhi ho jaayegi.

itne paise hi kabhi nahi mile... ek baar milane start hue to usake pahale itne din se deen daridra ki tarah pada hua tha ki ghabraa gaya.... aur ussi ghabraahat me ye bhi chintaa sataane lagi ki mere jeevan me kya ho raha hai

wahaan main bewakoopho ki tarah baitha rahtaa hun.. chidiyaa ghar me band jaanwar ki tarah.. aur unake isharo par naachtaa hun aur dar abhi bhi jindaa hai... ab nikal aaya hun aur pareshan hun.

Dar lag raha hai ki jaise pahale itna kam paisa kamata tha waise hi kam paise es baar bhi milenge.... par es baar thode jyada kamaane ke chances to dikhate hai... par man laalchi ho gaya hai ki esase bhi jyada kamana hai.

abhi present skill me to resume bhi banana nahi aata hai... aisa lag raha hai.

I think mujhe apne baat karne kaa tareeka badalnaa chahiye... tat would really bring some change.

   

   

No comments:

Post a Comment