main socha tha ki life me main bahut paisa kamaaunga... lekin kaise ye maine kabhi nahi socha tha.
IIT me admission milne se aap croropati ban jaayenge... achi job lagegi and all things... lekin mera kabhi koi interest science me nahi tha... lekin ab IIT me padhai karne se paisa kamaane kaa raasta khul jaayega to esase behtar kyaa hai... aur maine admission le liya... lekin wahaan to har koi iitian thaa aur har koi paisa kamaane wala tha.
To ab mere bachpan ki icha thi ki film banana hai... waise wo bhi kitna passion thaa yaa phir infatuation ye to aaj tak samajh nahi aa paaya hai.
to IIT me maine kaaphi time films dekhi... un films ko dekhataa aur films banane ke sapne dekhtaa.
lekin wahaan kuch aise log bhi the jo mujhase jyada films dekhate the... to pata nahi wo mujhase behtar film banaa paate yaa nahi... aur har saal film banaane kaa competition bhi hotaa ---- usame maine bhi ek baar himmat jod kar film banaayi jo pahale hi round me bahar ho gayi.
Khair bahut darte darte maine kai logo ki salaah lete hue film line me kadam rakhaa. mere according main study kar li thi... kuch maheene aakar yahaan kuch starter logo se mil chukaa tha... aur kuch films ke assistant director se... main unako jab ideas sunata to unako acha lagataa... kuch log appreciate karte aur maine maan liyaa ki bas ab to film line me aa jaate hai... yahaan to main bahut creative rahunga.
IIT me kissi tarah ghishak ghishak kar aur aanshu bahaa bahaa kar maine degree li -- -jo aaj bhi wahi hai... Mumbai aa gaya... aur usake baad ab mujhe samajh nahi aata tha ki main kaam sikhane ke liye jaun yaa kaam maangane ke liye... main kyaa kaam kar saktaa hun aur kkyaa kaam karne aaya hun yahi samajh me nahi aata tha.
Aas paas kuch creative log the... kuch bolne me creative... kuch instruments bajaane me... kuch fashion designing me... kuch kavitaayen aur kahaniyaa likhane me.... sirf ek main tha jo ab confuse tha ki kiya kyaa jaaye... sirf passion par to koi kaam dega nahi...
phir maine dosto ke bahut dhakke dene par film office chakkar kaate... wo bhi 1-2 se jyada nahi... aur uname se ek jagah kaam mil gaya... assistant director kaa...
mujhe bhay sataane laga ki galat jagah naukari lag gayi hai... en logo ko pata nahi hai ki mujhe kuch aata nahi hai aur main wahaan computer ki wiring aur connection sahi karne me maharathi gina jaane lagaa... lekin wo kaam bhi manie iit me sahi se nahi kiyaa tha... bahu tduvidha hoti aur kuch aisa kar dene ki icha hoti ki bas mera creativity kaa jhanda gad jaaye.
khair jhanda to nahi gada haan mujhe job se nikaal diya gaya... for being unproductive.
pata nahi es job se pahale yaa es job ke baad lekin mujhe ab paiso ki chintaa sataane lagi... kyunki mere paas nahi the... mera ek dost Prasad lab me sales me kaam kartaa tha aur maine wahaan try maarane kaa socha lekin wahaan vacancy nahi thi... aur phir usane prime focus me refer kar diya...
wahaan par wo log ye sunkar asscharyachakit the ki koi IIT se aaya hai... aur unahone waise to badi ijjat se baat waat ki... Jinase main milaa wo ek bade office me the aur mujhe lagaa ki bhai yahaan to waise hi bade creative log hai aur upar se main jisako saayad creativity kaa kuch bhi nahi aata hai.... usakaa kyaa hoga?? Un janaab ko maths kaa koi formula pareshan kar raha tha aur unhone mujhase kahaa ki bhai wo aap solve karne me meri madad kar dena... main samajh gaya ki ab ye job to hone se rahi, maine IIT me dhang se padhai kyun nahi ki.
khair wahaan mujhe animation seekhane kaa kaam offer kiyaa gaya... aur mere haath pair phool gaye ki main ye sab kaise kar paaunga... IIT me to main thoda bahut bhi computer nahi chala pata tha... agar windows udd jaay to dosto ko bula kar lata tha... maine unase kahaa ki main to yahaan writing aur director banane aaya tha kyunki mujhe lagtaa tha ki enlogo ko koi khaas kaam karnaa nahi hota hai... bas sochate raho... aur kaun jaantaa hai ki aap soch rahe ho ki nahi :) :)
to unhone sochane kaa time diya... aur jab main wahaan se ghar lauta to mera dimaag chamkaa ki bhaai wahaan paise to mil rahe the.... maine phone kiyaa lekin saayad kismat kaa darwaja ek baar khul kar band ho chuka tha.. prime focus me kuch nahi hua.
usake baad maine kaaphi time aise hi timepass kiye... saayad kuch naa karnaa meri ek puraani aadat hai... inaction is my main action.
socha ki Vivekanand join kar lun... as timepass... yaa phir escon... lekin kuch join nahi kiya.
phir huaa ki jitna filmo me seekha hai... aur director ko jitnaa kaam karte hue dekha hai... usase thoda aur mehnat se lag kar ek film to banaa hi lunga... aur phir usase paise bhi kamaa lunga... 2-6 maheene ussi me beete... 25 lakh kaa budget... pata nahi wo kahaan se aata aur ek dosto par based comedy movie.... maine IISc se aaye hue ek dost ko co writer yaa phir main writer hi kah lo rakh liya... aur main aaram karne laga.
kuch din baad maamlaa thanda pad gaya... kyunki kahani achi nahi lag rahi hai aur blah blah.
finally, job ki chintaa phir se sataane lagi aur khud ke andar aisa koi talent dikh nahi raha tha jisase paise kamaaye jaa sake.... iit me software padha nahi to udhar jaa nahi saktaa tha... wahaan bhi 10k se start hoti wo bhi kai jagah se resource lagane padte... IIT ki coaching me ache paise hote hai aur saayad mil bhi jaati lekin maine kabhi padhana as mani job socha nahi... aur upar se IIT ko padhaane ke liye padhanaa bhi bahut padega... aur phir se wahi mehnat karnaa ye baat samajh nahi aa rahi thi.
khair IISc waale dost ko ek jagah dubbing script likhane kaa kaam mila tha lekin usane chod diiyaa kyunki usake hisaab se wo kaam usake career ko kahin lekar nahi jata tha... maine dekha ki ye kaam thoda aasan hai aur dubbing me likhnaa kya hota hai... kyunki unake dialogue ko sunkar nahi lagtaa tha ki wahaan kuch likhane par dimaag lagata hai.. main wahaan dubbing studio pahunch gaya... wahaan ek test script likhane ko kahaa gaya.
Test ke naam se hi meri fatt jaati hai --- jahaan kissi cheej me mera test liye jaane ki baat hui nahi ki mere har taraf se dhuaa... aur wahi us din bhii huaa hoga --- dhang se yaad nahi..
maine test script lekin likh di... aur unake paas gaya to wo reject ho gaya.... lekin jinhone mera test liyaa tha Ashok ji wo bade hi sajjan aadmi the aur mujhase kaphi sympathy bhi rakhate the... main bhi unhe Guljaar se kam nahi maanane lagaa tha... .unhone mere kaam ke talaash ke baare me sunkar apne dost se kuch kaam bataane ko kahaa aur unhone ek aadmi kaa naam bataya jo dubbing karte the.
maine unase baat ki aur fauran hi kaam chal pada.. ek assignment fauran mil gaya... wo assignment kamar todu hote lekin kaam milta aur khaane peene laayak paise banane lage... maine phir socha ki kuch aur jagah se kaam liya jaaye to bada ho aur usam opportunity badi ho.
kai jagah haath pair maare jo bada kaam karte the -- lekin unako mera kaam pasand nahi aaya... mere aankho ke aage andhera chaa gaya ki enako mera kaam pasand nahi aa raha hai aur maine abhi tak yahi thoda bahut kaam karke resume bhara hai... aakhir ab mera kyaa hoga???
mujhe dubbing director ki salary thodi moti dikhane lagi aur maine socha ki ab esame haath aajmaaya jaaye... dubbing seekhane ke liye meri dost ki film jo dubbing ke stage me thi usame join ho gaya... aur bahut jee jaan lagaa kar dubbing kaa kaam seekhane laga... lekin samajh hi nahi aata ki main kyaa seekh raha hun... bas din raat ghor mehnat kartaa --- samaaj waale bhi mujhe serious aadmi maan chuke the aur free ke us job se ek baat samajh aayi ki dubbing director kaa kaam main nahi kar paaunga.
lekin ab kartaa to aur kyaa kartaa --- kai jagah aise hi -- pata nahi wo cable waale the yaa kyaa unake office me bhi chakkar maare aur unhone jo kaam diye wo kaam bhi samajh nahi aate the... bas itnaa lagtaa tha ki ye sab log paisa kama rahe hai --- creative hai -- bas main ek non creative hun.
phir mujhe ek jagah dubbing kaa bulk kaa kaam dikhaa... aur ek jagah se dubbing kaa business samajh aaya... dono hi interesting the.
Bulk wala jo kaam tha --- usako 2 - 3k films ko dub karnaa tha wo bhi 1 saal me... mujhe 1 film kaa 2.5k miltaa thaa to maine andaaj lagayaa ki ye to 50 se 75 lakh kaa kaam hai.... saal bhar me agar itne paise banate hai to bahut badhiya hai... aur unlogo ko quality se bhi bahut farak nahi padtaa tha... maine phauran hi wo kaam uthaane kaa jimma le liya. --- waise to akele maheene me 5 films karne me hi band baj jaati thi --- to maine socha ki main hiring kar lunga.... aur phir kaam sahi chal jaayega.
1 hiring bhi ki lekin samajh me aaya ki hiring karnaa aur kaam nikalwana is 2 jobs... aur maine hire bhi jisako kiyaa tha he was senior to me and I was in awe of him... lekin usase farak nahi pada -- farak esase padaa ki unakaa kaam mere kaam se bhi gadbad tha -- I think because he was Marathi --- so not better grip onhindi and his film was selected for Mahendra film competition so he was planning big.
aur finally ye bhi pata chala ki ye company jo transcription kaa kam de rahi thi usake plans kuch jyada sahi nahi the.... they were haphazardly planning -- so payment were risky.
Maine phir kuch din analyze kiyaa ki aise to kaam chalega nahi aur koi tareeka dhundhana hoga jo creativly bhi satisfy kare aur paise bhi bane -- tabhi mujhe ek jagah film likhane kaa mauka mila.
Film likhane kaa mauka milaa ye to theek tha, lekin main film likh paaunga espar mujhe doubt tha... wahaan maine join to kar liya, paise ki koi baat nahi hui aur wo jagah ghar ke paas tha to aane jaane kaa koi kharch nahi tha aur unake ghar par hi khana peena tha to it was bliss.
wahaan maine kaam karnaa start kar diya... lekin kaam kuch thaa nahi sirf khaana aur peena... gaanja... daaru and idhar udhar masti.
to be continued ....

No comments:
Post a Comment