it has again started... raat ko gaanja piya to sahi lag raha tha.
subah uthaa to phir samajh me nahi aa raha hai ki kyaa kar paaunga aur kyaa karna hai.
par ek baat to jaahir hai ki kuch kaam to karna hai jisase paise aayenge.
moviedlx business me phir se hope jaaga hai.. jabase film industry ke kuch logo ne interest dikhaya hai.
kyunki wo log film kaa business samajhate hai.
ab ek baat ye lag raha hai ki kitne din me esako execute kar paaunga aur kis tarah kaa human resource and time jaayega.
vague idea to hai... lekin usake expert apne team me nahi hai.. lekin wo hopefully hamlog samay ke saath acquire kar lenge.
yahaan market study and research kaa bhi thoda dekhnaa padega... ki es product ki jaroorat hai ki nahi market ko... aur doosare players agar aa jaayenge to ham unase kaise compete karenge.
baaki bacha writing... to yahaan par abhi learning continued hai... thodi marketing badhani padegi aur usake liye bhi raaste dekhe jaaye.. hopefully raaste nikal hi jaayenge.
December tak agar main bahut jyada hopeful kissi ek cheej par ho jaaunga to dikkat hogi... isiliye es point par ek baat bahut hi important hai ki mujhe bas apne kaam par dhyaan dena hoga. Aur yakin rakhnaa hai ki agar main doosaro ko revenue generate karaane me safal raha to mere liye bhi revenue ban hi jaayega.
Amen!!!
No comments:
Post a Comment